Mera man'na hay k jo log shikwa shikayat kertay hain her bat per .... wo khud un baton ki pasdari nahi kertay ...jis per kisi dosray say shikwa ker rahay hon....
Logon ki nirali he mantak suni aur dekhi hay main nay ...ye k .....shikwa apnon say he kia jata hay....
Aray......
Apna jisay samjha jaye us say shikwa kaisa.......!!!!! ???
Apna tou wo hota hay jis ki her baat aab e hayat samajh ker ghont ghont amrit ki terha pee li jaye...
Ye kia howa k ...shikayat kerdi..........
Ho sakta hay logon ki soch ye ho........per mujhay ye soch qabool nahi........
Mujhay tou bas ye pata hay k apnay piyaron ki sub buri batain ya dil dhuka janay wali batain dil k kisi konay may madfun kerlo.....aur koshish karo k us per shikwa na karo....Aisa nahi hay k hum un baton ko foran dil say ukhar painktay hain..........dil may sadma bhi hota hay......dil khoon k ansoo bhi rota hay.....per qarar ajata hay rafta rafta...........kabhi kabhi ye lamhat ye alfaz hum per udasi ka hamla bhi ker daitay hain.....magar acha insan wohi hay jo buraiyan bhool ker achaiyon ko yaad rukhay..........
Ajj kal TIT FOR TAT wala zamana hay........na janay log badla kaisay laitay hain..........itna mazboot dil kahan say latay hain...........k ....badlay laitay phirain...........
Per naadan ye kyoon nahi jantay k .....
Jab hum apnay dilon ko sakht ker lain gay dosron k liye....
tou RAB UL IZZAT
kia hamaray liye dil ko naram farmain gay k nahi........
IK sawal hay..........chubhta howa sa.........
per is jawab may hum sub k liye............APnay khaliq k aagay kitni sharamsari si hay na.....
Fehmida Chaudhary
Fehmida Chaudhary