Skip to main content

Kitabi Batain.......

Ye bat to aksar main socha he kerti thi k baz batain sirf aur sirf lafazi k ilawa kuch nahi hoti...un may koi sachai nai hoti...per wo khobsurat batain hamaray dil ko cho laiti hain...jinhain hum kabhi kabhi shugal may KITABI BATAIN bhi kehtay hain......aisa he aik paragraph ajj aik book perhtay howay mujhay perhnay ko mila.......is paragraph ki sehat per shak hay mujhay.....
perhye ....

""""Majbooriyon k bandan aur saath bohat napaidar hotay hain....Agar kabhi ap ko ye lagay k koi ap k sath majbori k tehat hay tou jitni jaldi ho sakay usay us bandhan say azad ker dain....Kyoon k aik na aik din ye arzi bandhan tootna he hota hay...tou behtar nahi k ap khud he usko azad ker dain...tah k apki apni izzat e nafs salamat rahay """"

Rishtay na tou apki apni marzi say bantay hain.....na he toot'tay hain...dekha jaye to apki bebasi ka tamasha dekhnay k liye aisay kitabi jumlay kitabon may print hotay hain....hahhaha

In baton ka haqeeqi zindagi say koi talluq nahi hota hay.....ye mojza nahi hay tou kia hota hay....na na kertay ap ki zindagiyon k faislay ho jatay hain....aur ap bat kertay hain....izzat e nafs ki......

Kia hoti hay izzat e nafs.....
kia kisi aurat ki izzat e nafs hoti hay....
uski izzat e nafs bachpan may he daba di jati hay....
k agar izzat e nafs say agahi ho gai to baray ho ker Bagawat na ker jaye......
izzat e nafs kuchalnay ka ye silsila koi aur nahi kerta ...uski apni maa kerti hay...wo maa jo zamanay k surd o garm say bachati hay......khud geelay may soti hay bachon ko sookhay may sulati hay...
jee wohi maa....kyoon k usay pata hota hay k .....k uski nazuk si guriya jaisi beti agay na janay kin halat ko face karay....is k liye wo usko pehlay say he PRECAUTIONARY MEASURE k tore per tayar ker daiti hay....
Ye bhi us maa ka pyar he hota hay......is k peechay uska apna zaati nafah nuksan nahi hota.....
aur shayad ye her wo maa kerti hay ..... jo apni beti say pyar kerti hay....

Log aksar bat kertay hain zindagi kaisi guzar rahi hay......asal may zindagi guzar nahi rahi hoti....wo to guzar rahi hoti hay.....insano ko ....apnay bhanwar may....chakkar view khatum he nahi hotay is k .... us waqt tak ghumati hay.......jab tak hamary muh say nikal na jaye.....
TU JEETI HUM HARAY.....:)

Waisay meri batain ...main he jano....k main nay kia likha hay....hahahahha
ab bas bohat ho gaya.......ajj k liye itna he kafi hay........

Fehmida

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...