Skip to main content

Akhri keel........

Ajj palkon ki barh per kitni he dafa ansoon ka sailab umund anay ko tayar betha tha ...per kis terha roka isko main nay...hansi k parday main dil k durd ko daba ker kis terha chupaya main nay...mujhay maloom hay...sirf mujhay maloom hay...Per pora din jo guzra so guzra ......raat kat'ti nahi...aik aik lamha ... aik aik yaad dil ko cheer dainay ko tayar khari hay... kab tak rok paon ge....khud ko totnay say....bikharnay say...

Magar yaqeen rakho...tum log...tumhari is khushi k moqay per dil say duaon hain meri.....koi gillah nahi...ik khalish si hay... mera qasoor ??? kia tha mera qasoor...?
Aisa kia ker dia main nay...? kabhi jawab ban pai tou zaroor batana...

Wahwailay machana nahi ata mujhay...durd mushtahir kerna nahi ata mujhay...gillah kerna nahi ata mujhay...

Haan magar .........itna yaqeen hay mujhay k sirf aur sirf meri ik chup wo kam ker sakti hay jo tum sub k shikway gillay bol bol ker nahi ker saktay...

Meri is chup main mera durd chupa hay...jo ik na aik din tum sub k murda zameeron ko zaroor jhinjhoray ga.....mera yaqeen hay...

Kal ka din bohat bhari hay meray liye.......bohat ziada.......k kal is baat per akhri mohar lagni hay k main waqai tum sub k liye mar chuki hon...aur phir us k bad rukha he kia hay...mari howi ko aur kia maro gay zalimo....Kal meri zindagi k taboot main aik akhri keel thoke he dalo...k ab mera roz roz jee k marnay ka tamasha khatum ho ...

Meri dua hay RAB Tum logon ki zindagi k her her mor per khushyan ata farmaye ameen...

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.