Skip to main content

Andhaira berhta he Aur Mera Dil Ghat'ta hay...

Sardiyon ki shamon main jaisay jaisay sham se he andhaira berhta jata hay ....mera dil ghat'ta jata hay.... mujhay andhairay aur khamoshiyon se shuru se he wehshat si hoti hay.... dum ghut'ta mehsoos hota hay...per ye kaisa insaf hay ae meray Malik k jo insan jis bat say derta hay ...bachta hay tou wohi sub uska muqadar bana daita hay.... aur phir uski bebasi ka tamasha ban k reh jata hay....

Apni zaat main sabr o kana'at ki gantain (knots) laga tou li main nay per jab unko kholna chaha tou wo itni mazboot ho chuki thin k unko khola nahi ja sakta tha.....

Apnay ap say lartay ... batain kerte ab thakan si honay lagi hay... k khud apnay wajood say aik bair sa mehsoos honay laga hay...Na janay aisa kyoon ho raha hay..... Apnay ap say bhi khauf anay laga hay....

Main kitna badal gai hon..... k baz dafa khud ko bhi pehchan nahi pati.....Rooh itni pyasi ho gai hay k sairab ho k he nahi deti.... Aik Aik baat khoon rulati hay...

Is say acha tou ye tha Ae meray RAB k tera nam lay lay ker pagal ho jati ......duniya main dil laga k tou ye bechaini mazeed berh gai.... Wo qarar jo tujhko mehvar bana ker hasil hota tha wo qarar tou lut gaya .....Meray Malik ger main kisi qabil nahi duniya k tou TU apna he ker lay mujhay....Mujhay pannah day dae......meri pyasi rooh ko apni mohabat k pani say sairab ker day...meray dukhon ka madawa ker day kuch is terha k main duniya se beparwa ho jaon aur teri mohabat main mast rahon..... Tujhko khonay ka tou dharkah sa bhi nahi hota k TU tou uska bhi hota hay jo tera hona nahi chahta aur jo tera hona chahta hay TU us say ziada uska ho jata hay.....

Mohabat e Elahi main mashgool ker day meray Malik k Eman ki roshni ki barish si kerday .... aisi barish jo dil o demagh ko itna munawar kerde k sham dhalnay ka ya andhairay berhnay ka zara baraber bhi khauf dil main na rahay.... Teray saath honay ka ahsaas is qadar zehan o rooh per havi rahay k tanhai ka ahsas ho he na paye............

APna karam ker day meray Malik............Apni yaad k siwa meray dil se sub kuch mehv ker day.... Mujhay apna bana lay meray RAB k mera koi nahi hay .....Tere siwa.... Mujhay kisi se tawaqoh nahi hay .....Tere siwa.........

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...