Skip to main content

Qabristan...........

Dil pe cho'at hay
ankhon main soaz hay
Koi jiye kaisay ?
Sansoon pe bojh hay?
Kis ko sunain apni duain,
Chehra morr k Palkain orrh k.....

Main nay apnay dil k ander aik qabristan banaya howa hay..jis may latadad choti choti qabrain hain .... khawahishon ki, hasraton ki, shikwon shikayaton ki,, arzoo'on ki ...per ye sub batain un logon say juri hain jo meray apnay thay...kisi dunyawi sheh ka is may koi laina daina nahi... Main samajhti thi...hamari qurbaniyan, hamara pyar, hamari farmabardari, hamara khaloos hamaray apno ko jeetne k liye kafi hota hay.... per nahi ..........pta nahi ajeeb duniya hay ye ...yahan jo apna tan man dhun sub luta daitay hain apnay pyaron ki khushi k liye wo he masloob hotay hain umr bhar .....Aur wo log jo kuch nahi kerte sirf aik jumla mohabat ka bol ker ap per sabqat lay jatay hain...ye kaisa insaf hay logon ka....

Duniya ki is bheer main insan koi tou hoga....
Jo sun lo dil ki cheekh'ain, Kan koi tou hoga...

Is materialistic dor may wohi survive kerta hay...jise batain kerni ati hon...aur mujhay batain banani nahi ati... Ye jo bin kahay samnay walay ki baat samajh janay ki salahiat di ALLAH nay ..is nay mera bohat nuksan kia hay...na qabil e talafi nuqsan....


Andhay hain ankh walay, Gongay zaban walay...
Bikhray hain toot k kachay makaan walay...

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...