Skip to main content

Main pagli he thi na.....?

Mujhay talash thi duniya main kisi aik aisay insan ki jo meri tarah ho...jo mujhay samjhay...bin kahay dil ki bat samajh jaye....main kab udas hon...kab khush hon...usko sub kuch pata ho....per afsoos rishta koi bhi ho...her aik nay apnay tore per meri saadgi meray khaloos ka sirf istimal he kia...aur kuch nahi...Sub kuch samajhtay howay bhi na samajh ban ker sub sehnay k bawajood bhi meray hath kuch nahi aya.........Her shaks apnay mafad ki had tak sath chala ... aur bas...

Itni zehrili fiza hay k dam ghut'ta hay...Sansain azar deti hain.... Neendon se tou na janay kab say bair banda hay in palkon nay....... anay he nahi deti ............kuch pal ko tou in jan laiwa khayalon say jaan chotay.....Koi lamha tou ho jo is karb say nijat hasil ho.....

Kab tak hansi k jhootay nikab pehan ker khud ko fareeb daina hoga.......kab tak...
Behiss logon ko apni hassas sochon per zehrilay teer barsatay bardash karna hoga....
Kahan mile ga aaman .......... Kab miley ga......

Meri soch k..... waqt aur sabr sab badal daita hay aik din............per nahi.........Main galat thi.......kisi ko badalna ho tou aik pal he bohat .....Nahi badalna tou umrain raigan chali jati hain aur kuch nahi ho pata.....

Meri bhi kia soch thi.....Main bhi pagli he thi na......?



Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...