Tu usko apnay tamana'on ka markaz na bana...
Chand to harjai hay...Har dil may utar jata hay...
Janay wo konsa lamha tha jab kabhi bachpan main chand ko dekh kar dua ker dali k mujhay chand nahi tou is jaisa roshan bana day meray Malik....per ab gaur kerti hon tou afsoos hota hay... Chand tou banjar hay... Laq o daq munjamind pathrila sehra numa... na hawa na pani ka guzar...Bas habs he habs...Itna habsss k sans laina he mushkil hota hay...
Meray andar bhi shayad ik he mausam teher gaya hay.... HABS ka mausam....
Had e nigah tak dabeez KHAMOSHI ki teh meri zaaat ki shokhiyon per beth gai hay... shayad in shokhiyon ka bhi dam ghut ker reh jaye ga is qafas main dab ker...
Dil o demagh main yadoon k tareek jangle main Behissi ki sard hawaon nay meray sab jazbay...sab mehsoosat munjamind se ker diye hain...yahin kahin bohat si raakh bhi hoge idher udhar pheli howi..... shayd meri zaat k atishdan main meray sab khawab jo jal ker bhasam ho chukay thay abhi bhi karaah'tay hon gay ? Shayad abhi bhi wahan say ik beqarar sa dhuwan uthta hoga...
Zindagi apna khiraaj mangti hay... sans k akhri honay tak....
Aur ye khiraaj ada kerna hay....Khud apnay fana honay tak......