Skip to main content

Khud aziati ka lutf......

Jab insan khud apni zaat ko tazheek ka nishana banata ho .... Log uski masoomiat aur saadgi ka faida uthate hon aur wo ye sub jaante bojhtay howay bhi her bat nazar andaz ker jata ho... Jab rooh ko cheer dainay walay teer kaman se alfaz us k dil ko band kerdainay k liye kafi hon phir bhi wo isay bardash ker k muskurata ho.......tou ......samajh lo.....Us shaks nay apnay ander aik qabr bana li hay jis main wo ey sub madfun kerta jaraha hay...bazahir hanstay howay chehray k peechay bohat kuch aisa hay jo wo kisi ko bata nahi sakta....shayad khud ko bhi nahi.....Ye wo muqam hota hay jisay hum KHUD AZIATI ka muqam kehte hain.....

Khud aziati ka bhi aik alag he maza hota hay..is main ap dosron k kiye gaye zulm ka badla apnay ap say laitay hain....is liye nahi k ap buzdil hotay hain...isliye k ap zehni tore per itnay strong hotay hain k ap unki ye gair insani harkat ko mauf ker daitay hain....Mauf kerdaina kisi aam insan ka kam hergiz nahi...Ye kam wohi ker saktay hain jo khud aziati k marz main mubtila hon...ye aik aisa marz hay jis ko ho usay apnay siwa pori duniya masoom nazar ati hay...wo her baray se bara aur chotay say chota zakhm kha ker bardash ker jata hay......wo duniya se jang nahi kerta....kyoon k uski apni zaat se he jaang khatum nahi hoti k kisi aur ki bari aye....

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...