Main ik aisay mor per khari hon jahan khud apni khabar nahi mujhko.....per ye pata hay k main akaili hon .... bilkul akaili.......
Kabhi sayon say behla rahi thi khudko kabhi wahimon main uljha rakha tha....Shayad khud ko khilona bana rakha tha....per ab aur himmat nahi......Mujhay khud ko khud he sahara dena hay...Jo k bohat muskhil kam hay....
Mera wajood khokhala sa ho k reh gaya hay.....khooni rishton nay khoon nachora rag rag se tou doston nay khilona he samajh lia ......wo jo kuch zindagi bachi thi na meray ander usko Dostiyon ki demak nay chaaat lia...
Mera dil khander zada hay jahan maazi ki yaadain aasaib ki manind idher se udher mandlati phirti hain....in say khoon risssta rehta hay....
Jhooti tasaliyan ...jhootay saath k an kahay waday ....Ankhon ki putliyon main teher say gaye thay....bohat roi hon.... Ankhain masal masal ker bari mushkil say in khawabon ko ankhon ki putliyon say mitaya hay maine.... Bari mushkil say is faraib k dairay say bahir aye hon...k Haqiqat phir behter hay.....Bari mushkil say seekha hay main nay kisi ko Alvida kehna.........
Fehmida Chaudhary
19th June 2012