Skip to main content

Mard Zaat...........Bud Zaat

Mujhay ye kehnay main koi arr nahi k main nay ik chaudhary punjabi gharanay main ankh kholi jahan betiyon ko bojh he samjha jata hay...jahan behno ko dosray darjay ki makhlook aur biwi ko pairon ki jutti ka darja he milta hay....

Chaudhary'es ki monchain ho na hon....unki undekhi monch per aik taraf unki mardangi ka bojh dhara hota hay aur mouch ki dosri taraf unki zaat ka chota pan....unki ana unhain bazahir bohat mazboot bana deti hay per andar ki bat ye hay k wo onchay lambay qad k dekhnay walay log dil se bohat chotay hotay hain bohat he chotay aur boo'nay.....

Ye Insan jaisay boonay dekhnay walay....khud ko Na khuda ka sa darja detay hain....kuch na hotay howay bhi...ye mushriq hain ....kyoon k ye hamaray zamini khuda banay howay hain....behiss...murda zameer...galat ko sahi kehnay walay....apni ana k bharam main aurton ko neecha dekhanay walay...jhoot ko sach aur sach ko jhoot ka libada uranay walay....zameeni khuda... Haqiqat main ye Allah ko mantay he kahan hain ye to shaitan k peero kar hain....shaitani zehan aur kalay kartoot hotay howay bhi pakeezgi ka dawa kernay walay....Dolat ko asoodgi samajh ker her ristay ko thokar laganay walay zehrelay bichoow....

Mard zaat hoti he bud zaat hay... Ye kisi bhi qism k rishtay main bharosay like nahi hotay... unka deen iman hota he nahi hay... ye sirf apnay nafs k ghulam hotay hain... apni zarooraton k liye aurat zaat ko jisko ye pairon ki juti samajhti hain ....Soli pe charha detay hain....dar cherha detay hain...

Main jab kabhi bhi panah k liye koi saya dar darakht dhondi hon meri muntazir ankhain her bat loat ker wapis ajati hain... k aisa na koi der hay na he koi aisa shaks........

Mujhay bhari duniya main kisi per na he aetibar hay na he kisi qism ki bhalai ki umeed.. Mujhay kisi ki zaroorat nahi...Mujhko mera aks mera saya ...........mera hamzad he kafi hay..........han ..........bs wohi kafi hay.........

Fehmida Chaudhary

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.