Duniya ka sab se khoobsurat rishta wo hota hay jahan apas main ana ya main nahi hoti ... jahan fasla doriyan honay ki bawajood sirf aik muskurahat se ...sirf kisi aik k baat ker lainay se sub kuch pehlay jesa ho jata hay...log aisay logon ko pagal samajhtay hain ya aisa samajhtay hain k un me self respect he nahi hoti ...jab k aisa nahi hota... Jitni bari bari batain ki jain ....jisne nahi samajna nahi samajh paye ga...ye tab he samajh ata hay jab ap khud is amal se guzro...Hum khoobiyon walay shaks ko uski khoobiyon ki wajah se pasand kertay hain aur aisay shaks ko bura samajhtay hain jo apni khamiyan bayan kry....nadan log chamakti cheez ko sona samajhtay hain ...ajj wo dor hay jismay log apnay apko her terha say perfect samajhte hain aur dosron main khamiyan nikaltay hain.....tou azeem to wo howa na jo khud apni zaat k aib bayan kry...pagal logon ki mantaq bhi sirf pagal he samajh saktay hain.....
Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014