Skip to main content

Akhir kyoon.....??


عورت ہمیشہ دو  ہی چیزوں کی خواہش کرتی ہے ....
محبت 
اور 
عزت 

 یہ دونو ں چیزیں  اسے نہ تو قسط وار چاہیے ہوتی ہیں نہ ہی  ایک  کے بعد ایک ....ان دونو ں چیزوں کا مرکب چاہیے عورت کو ....

اگر کہیں کسی موڑ  پر مرد یہ سمجھے کہ محبت میں عزت داؤ  پر لگا دینے والی عورت واقیاطاً  عزت دار  ہے تو یہ اس کی خوش فہمی ہی ہے ....

Aurat hamaisha do he cheizon ki khawahish kerti hay...
Mohabat
Aur
Izzat

ye dono cheizain usay na to qistwar chaheye hoti hain na he aik k bad aik....in dono cheizon ka combination chaheye hota aurat ko...

Agar kahin kisi mor pe mard ye samjhay k mohabat me izzat daow pe laga deni wali aurat waqiyatun izzat dar hoti hay to ye us  ki khushfehmi he hay...kyoon k jo Allah se nahi derta wo ap k der se apnay apko bura kam kernay se kese rok sakta hay...

Na janay kyoon ye society aise he mardon se bhari pari hay jo aurat k kirdar ko toaltay hain .... aur isi taul phoal main wo dil se utar jatay hain.... aur dil se jate jate ankhon ki bachi kuchi khushi ki ramak bhi saath le jatay hain...  unhain ahasas tak nahi hota k ankhon ki jheel main sakoot taari honay ki wajah bhi wo khud he hain....

Ankhon se jaa"lay utartay he wohi hum hotay hain aur wohi logon pe hamari BE'AETIBARI



Fehmida Chaudhary
28thApril 2016



Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.