Saturday, May 7, 2016

Phaa'pound lagi mohabat....

Jis terha koi khanay ki cheiz dino tak pari rahay to us pe phaa'pound lag jati hay....usi terha mere ahsaasat, jazbaat aur mohabat bhi phaa'pound zada ho gaye hain....

Kharab cheizain to phaink di jati hain....

Per main kahan  phainkon??

Phaa'pound zada mohabat
Phaa'pound zada ahsaasat
Phaa'pound zada  jazbaat......

kahin na phainki to ye to mere jism o jaan ko bhi gaalaa de ga......khatum ker de ga


Fehmida Chaudhary
07/05/2016