Skip to main content

Intiqam...

Momi ki diary aksar mere haath lg jati thi aur main b is maukay ka bherpore faida uthaya kerti....ajj bhi wo dost ki taraf gai howi thi...na jane kyoon mjhy lagta k uski kaali diary.... jis main wo apnay shab o roz aur haal ahwal likha kerti thi....mjhy apni aur bulati hy k aoo aur mjhy perho...
Uski last likhi gai diary main ribbon se book mark lagaya gaya tha...main ne perhna shuru kia....
Likha tha...
Main momi ajj kal bht chup aur bazahir mutmain nazr ane ki bherpor koshish krti hn...magar ye sirf main aur mera Allah he janta hy k main zindagi aur mout ki c kushmakash se guzr rhi hun...sab kuch maloon hotay howey bhi khud ko normal show krna koi asan kam to nhi...mjhy samjhna duniya ka asan tareen kam hy...meri lagi bndhi aadat samajh kr mjhy katputli ki terha apne isharon pr chalana kisi k liye bhi mushkil nhi...aur wo to meri rug rug se waqif tha...pr kehte hain na kabhi b apne muqabil ko kamzoor nhi samajhna chaheye...bs yahin us jese hoshyaar insaan se choak hogai thi...
Momi badla lene walon me se nhi thi per wo ab chir chuki thi ...us se...us ki harkaton se...ab usko jaiz tha k wo itne lambay intizaar ki aziatnaki ko yakser bhula ker apne tamam hisaab chukta kr sakti thi...
Wo jo apni manzil k mil jane ki khushfehmi me gin gin k waqt kat rha hy...zara sal wo nhi janta k uski aziaton ka shikaar bni wo larki apni zindagi ka sab se pehla intiqam lene k liye beqarar thi...
Ab wo intizaar me thi us waqt k jab wo samjhe k manzil qareeb hy aur usay manzil se he khaali haath lotna paray...
Momi ne uska hisaab chukta kr dia tha aur ajj ki raat usay sakoon ki ani thi......

Meri ankhon se kuch ansoo momi ki diary pr giray...aur mene us durd ko jo un alfaaz me posheeda tha...ko mehsoos krty howe diary bnd krdi....

Written by Fehmida Chaudhary
03rd july 2017

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.