Skip to main content

Bewafa....

Der haqeeqat Momi tou aik seedhi saadhi larki this...Jo Chand se pehron batain kr k...baarish ki risti bondon ko dekh kr...qaus o khizaan k bikharty rungon ko dekh kr he khush ho jaati this...Jo wo hansti tou uski hansi Goya mandir Mai bajti guantiyon ki jal tarang ki manind aas pass ki khamosh aur udass fiza Mai rang bhar deti...aur agr wo kabhi udass hoti to Zarah zarah us k gham me uska saath details mehsoos hota... Logon k ravaiye us k nazuk Dil pr gehra asar dalte...aur uski ankhain akser choti choti bat pr bars kr bojhal raha krti thin...would apne rung Mai rang lenay ki salahiat seebhi malamaal thi.... Wo apne gird ik aahinee qilaah bana kr khudko isme muqeed kr k bht mehfoz samajti thi..

MAGAR

Aney walay ne aaoo dekha na taao dandanata ghusta Chala Aya us k ird gird ki devarain masmaar kr k...be'takalufi k fun seearaha uski roo'ton ko hansane wali batain aur in baton seeDil mooh lene k gurr se wakif wo shaks Momi k hawaa'son aur Dil pr chaa'ta Chala gaya...Momi ki tamam tar hifazati taadaaber k bawajood..wo Aya aur taskheer kr gaya...Momi usay qeemti jaan k sir k taaj me nasb kr chuki thi..

PER

Wo jatay jatay us per ahsaan kr gaya Tha...usay satahee aur qeemti mai farq bata gaya tha...jisey qeemti samajh bethi this wo saatahee soch ka aik aam sa shakhs nikla...jisay dilasa Dena aata Tha magr sahara dena nhi...

MARD ki zaat ka her zaviya khud'garzana hota Hy...nai cheiz k atay he purani cheiz ko bhula Dene kay fun se ba'khoobi wakif ye MARD pori Zindagi tabdeeli aur nit Naya k chakker Mai guzar detay hain...

MARD ki mohabat baan'ss ki trha taizi see perwaan cherhti hy...aur phr us se bhi dugni raftaar see uska nazar andaaz krna uski mohabat main mubtila shaks ko us k he qadmon mai muh k bal gira details hy...

Momi ki ankhon see about us naam nihaad mohabat ka parda sirka tou wo bht roi...bht tarpi...magr us shaks k liye nhi balkay apne bewakoof bn Jane per...aur us shaks k liye khudko is darja giranay pr...

Maloom Hy...Momi Ney apni ankhon seeBetty aansoo k zarye us shaks ko bhi bahar nikal phainka tha...jisne us ki saadgi ka ...masoomiat ka ahtisaal Kia tha... Aur Dil seenikal howay log dobara and ka takkaluf bil'farz kr bhi lain tou unhain Jaye pannah phr nhi milti...

Aur mohabat main dhong krne walay us MARD a mujahid k liye ye saza khuda ki tarf se Muqarar hoti hy...keh wo Zindagi bhar her dar se khaali haath dhutkara jata Hy...

MARD ki fitrat Mai hy k would aurat ko apna aseer bna k mohabat k zindaan main qaid kr k khud azaad ho jata hy...wo chahta hy k aurat khudko us MARD e  bewafa ka paaband bna kr rakhy aur agr kbhi is zindaan k roshan'daan seeat howi hawa baharon ki khaber laye tou aurat usay yakser faramosh aur nazr andaz kr k khudko us bewafai k mujasmay MARD pr Roz apni khushyon ki bal'li cherhaye...aur roz apni aarzo'on ,khawahishon aur tamana'on ka khoon kr k...wo khoon us MARD bewafa k qadmon mai nishawar krde...aur wo mard apni mardana ana ka jhanda us aurat ki qabr pr shaan see lehlahata hy...

Written by Fehmida Chaudhary
As on 31st October 2017

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...