Skip to main content

Qurb....

Her insan ki Zindagi main qurb ki definition alag alag hoti Hy...Momi to aziat'on ko sehte sehte aziatpasand bn chuki thi...ab dukh sehna raas agaya Tha usay...per ye Jo wo abhi abhi keh k gaya Tha "aap k hone na honay see koi farq nhi perta"...wo jahan thi khari ki khari reh gai...saans Jese senay main atuck si gai thi...qurb kisay kehtay Hain? wo ajj samjhi thi...

Kesa lgta Hy na jab AP jinko khara kertay kerty khud nidhaal hojao wohi ap k qadmon talay zameen kheench lain...kisi ko acha bnaty bnaty hum khud uski nazron main kitne buray bn jatay Hain...ye ajj Momi samajh Pai thi...room room sulaag rha tha uska...

Aur ajj qurb k is makaam pe wo soch rhi thi k apna aap mita k Uska maqaam bnane k chakker main wo to ye bhool he chuki thi k apni zaaat ki nafi kr k wou khud mit'tay mit'tay aik hakeer Zara bn k reh jayegi uski nazar main...

Shayad makafaat e Amal Tha ye...usne apni nafi kr k apne bnane Waley k qanoon ki khilaaf warzi thi...tou aj usi Rab ne usko uski auqaat yaaad dilai...usko usi andaaz me samajhaya k bnane Wala apni takhleek see kitna pyaar kerta Hy...Jo apni zaaat ka haq Ada nhi krty wo kuch b kr k sataaish aur apne hone ka certificate hasil nhi kr sakte...

Momi acha bn'ne ki koshish me buri kab bn gai ye wo jaan he na Pai...

Momi ne ankhon main aye aansoo saaf kiye aur muskura di...is see pehley k koi us k rooh k shigaafh dekh le...usne in shigaafh'on pr hansi ka parda daal k apna Akhri bharam rakh Lia Tha...

Written by : Fehmida Chaudhary
As on 30th November 2017

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.