Tumhain kisne kaha tha arey pagal larki...
wo aik zindaan Jo tumhare naseeb main likh dia Gaya tha...us zindaan ki onchi onchi faseelon ko apne nakhun'on see khu'rachne ki koshish main un ungliyoon ko zakhmi kr dalo....
Suno are pagal larki....
Tumhain kisne kaha tha?
Andhaire jab muqader BN chukay thay ....to kyoon tmne....? umeed k jugnu jala k roshni ki umeed bandhi thi....
Btao na....tumhain kisne kaha tha...?
Wo aik rozun Kia kafi nahi tha sans lene ko....? Tmhain kisne kaha tha khuli fizaon k armaan tm paalo....
Arey pagli,
Tumhain kisne kaha tha...? Jagti ankhon k khwab tabeer patay Hain aur muqaddar jaag jatey Hain....?
Tmhain kisne kaha tha
Tmhain kisne kaha tha..,
Written by Fehmida Chaudhary
Dated 9th may 2018 12:30a.m