Skip to main content

Dohraa mayaar...

Kehtay hain zindagi bohat bara ustaad Hy. Ye Jo sabak deti Hy wo sub insaan kabhi bhi kisi kitab, kisi aalim, kisi mufakir see nhi seekh sakta.Laikin phir bhi Zindagi main bohat see aisay sawal hain jin k jawab taa umr tAlash kertay raho tou jawab naa daard he rehta Hy.

Main bhi akser sochti Hun  piyaaz ki perton ki trha chehra der chehra lagane wale lig aisa kyoon kertay Hain. Kyoon wo chehray dhoka detay Hain? Kyoon in logon k qaul o fail main tazaad hota Hy? Kyoon un k zameer murda ho jatay hain? Kyoon dosre logon ka ahtasaab kernay wale aainay may khud ko nhi dekhte?

Beherhaal haqeeqat yehi Hy aur nihayat karvi bhi. Baaz chehron PE paray nakaab see hum bohat achi terha aagaah hotey Hain. Lekin hum chahtey yehi Hain keh in chehron PE nakaab pari rahe. Hum hassass log in naqaab main chupay logon k hissau ka kufara ada kertay rehte Hain aur in k hissau ki haya aur lajj bhi hmain kerni perti Hy . Taah k in k unchay shamlon ki Shan qaim rahy. Hum bin kahay he in k man saman k rukhwale bn jatey Hain.

In logon main aksar he "main" ki bemari hoti Hy. Inki "main" k ahtaram main hum apni "khudi" ko faramosh ker datay Hain. Magar would hmari is qurbani ko "apna haq" samajh k wasool kertay Hain. Aise he log gardan taan k bari jee dari see is munafiq aur dohray mayaar ki duniya main jee sakty Hain.

Sach to ye Hy k ye duniya Hy he sheesha garon ki.

Saada, sachay aur kharay logon ko tou hamaisha qeemat chukana perti Hy. Khawah qeemat chukaney k liye inko apni jaan ka nazrana he kyoon na Dena paray.

Written by Fehmida Chaudhary as on 30th sept 2018...,3:15 pm

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...