Skip to main content

Samjhotha...

Apni pasand ki cheiz na milne pe sabr kerna aur apni cheiz kisi ko pasand ajaney per uski pasand ko khud ki pasand pe tarjeeh deny jaisey samjhot'on see bachpan see he main khoob waqif Hun.

Aisa nahi hy k bechargi ki had take ja k main ye sub kerti Hun ya kerti thi. Per zarasul mjhy apni khwahishon ko maar k kisi dosre ki khawahish pori hojaney ki Khushi apni Khushi see berh ker hoti. Bina kisi hasad k main dil se koshish kerti Hun k wo maan Jo dosre mujh pe na bhi kertay Hun. Wo maa'an ban Jaye.

Aisa nhi Hy main kamzoor Hun . Haq k liye lar nhi sakti. Bus mjhy kisi ki cheeni howi aas, arhuri khawahish ki wajah nhi bn'na. Mjhy kisi cheiz ka badla nahi chaheye. Sabr aur samjhotah krty krty  kabhi thakun b nhi howi mjhy.

Per TUM per aa k mere sabr ki, mere jabr ki had khatum hojati Hy. Hasad angraiyaan leta Hy. Shayad ye wo sach Hy Jo chupaya Jana chaheye. Maine apne liye hamaisha he Bar'ba'dian khareedi Hain. Meri Zindagi ki subse bari barbadi tum thy, tum ho aur raho gay.

Zindagi ne mjhy kabhi munafah nahi dia to Kia howa. Ye Meri Marzi ka khasara Hy Jo mjhy dil jaan se pyara Hy.

Written by Fehmida Chaudhary as on 25th October 2018

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.