Dafnaye howay aur aik baar azmaye howay log meri nazar main aik jesa he muqam rakhty hain. Siwaye aik farq k keh dafnaye howay log mano'n mitti tallay dafnaye jatey hain aur azmaye howay dil k qabristaan main.
**********
Baaz dafa aisa b hota hy k kuch log zinda rehte howay bhi mar jatay hain. Farq sirf yehi hota hy keh unko chaar kandh'on pe nahi uthaya jata. Balkay, wo apnay murda wajood ko , apnày kandh'ay pe uthaye phirty hain.
***********
Written by Fehmida Chaudhary
15 th February 2019