Skip to main content

Bulbul ki kahani _part 01

Main jo bhi kuch likhti hun wo meri he kahani ho aisa bilkul nahi hy per ye sach hy k ye sub jo main likhti hun aap betiyan hain logon ki jinhain main janti hun ya jinse kabhi mili hun. Her insan ki alag alag kahani hy. Bas pardaposhi ki wajah se nam aur jaga ya khandaan btana main zaroori nahi samajhti. Mera maqsad sirf aur sirf ye hota hy k dosron k haalat waqiat hamain sabaq aur tajurbay ki baat btaty hain aur hm pe beeti un k liye ahtiat hoti hy. Insaan ta'umr seekhta hy. Jab insan ye soch ley k wo afzal hy usay sb pta hy to ye uski tabahi ka baiss bnta hy. Ilm kitaab aalim he dars ka baiss nahi. Kuch cheizain hmain seh ker he samajh aati hain.

Bulbul meri dost thi jo k ab nhi rahi is duniya main. Ajj bethay bethay yaad aggai.

Maa baap apni jaan armaan maar k aik aulad ko paalty hain . Wo kabhi bhi jaan bojh ker aulad k liye bura nahi kertay. Per kuch percent hain bhi jo larkiyon ko bojh samajh k bs apne farz se subukdosh hona chahtey hain.

Sub ki apni apni soch hy . Meri soch ye hy k jab 2 log shadi k muqadas rishtay main bandhty hain tou un main se aik bhi agr sincere nahi hota tou wo rishta toot'ta zaroor hy. Ab is rishtaay ki mudat ya mayaad kitni hy iska sara ka sara daro'madaar us shakhs per hy jo k MUKHLIS hy, imaandaar hy. Jitni bardasht us mukhlis ki hogi utna he ye rishta chalay ga. Jis din uski bardasht khatum hogi usi din rishta b khatum. Aur kabhi kabhi aik insan ki bardasht ka arsa uski aadhi zindagi pe moheet hojata hy. Sabr ki tasbeeh perh perh k zindagi guzarney walay ki bardasht khatum nahi hoti per us tasbeeh ka dhaaga bodaa aur kamzor ho ker toot jata hy aur us k daanay titar biter hojatay hain aur isi terha wo insan bhi bikhar jaata hy.

Shadi ki raat dulha dulhan aik dosry ko achi achi batain btatay hain apnay baray main. Main ye hun main wo hon. Mujhay ye pasand hy aur wo na'pasand hy wagaira wagaira.

Garz ye k apnay baray main acha bol bol k ainda ki zindagi main agr wohi sub kuch 2 dono main se koi aik wohi sb kernay laga jo wo kehta hy/ya kehti thi tou banda aik dosrey se shikwa shikayat kerta hy. Baat aai gaai hojati hay kyoon k apne achi baton se zindagi ka safar shuru kia hota hy.

Achi achi batain ker k mukar janey wal itna khaternaak nahi hota. Jitna khaternak wo insan hota hy jo apni burai aik din b chupa na paye aur apny amal se zahir ker dey.

Bulbul ney mjhy btaya k us k shohr nay usay 10,000 rupee diye haq meher k aur jab wo change kr k ai to uska shohar us k pars se nikal k apni jaib maib rakh raha tha. Wo hairan ho k bol pari k ye kia krhy hain aap??. Kyoon k ye baat wo susral k logon se kai baar sun chuki thi thi k baray bhaiyon ki biwiyon k haq meher b chori howe thy. Aik raat ki dulhan k hawas jo baakhta thy wo kaam kernay lagay k janab ye kuch aur he kahani hy. Mazeed baat subha khul gai jab uski saas apney betay ko koos rahi thi k 10,000 nahi nikal saka. Juru ka ghulam k tanay alag. Tab tak bat samajh aye k haram halal ka, jhoot ka, dhokay ka koi concept is family main hay he nahi.

Meri kabhi bhi ye adat nhi rahi k main galat mashwara dun. Bulbul ne jab ye baat mjhse share ki tou maine bht soch k ye mashwara dia k tum maa baap ko zaroor btao.per usne ye baat sun k ura di , muskura di aur kaha mjhy unka jawab pata hy. Maine hairan ho k pocha k acha mjhy b btao. Tou hansi aur boli k unka jawab hoga k ab shadi kerdi hy ab wahin rehna hy. Yahan hansti hoi ana aur jana wahin hy akhir. Isterha tou koi bhagi howi baaghi larki k saath nahi kerta.

Us k bad wo jab aati aik naya zakhm dikha k jaati. Wo mun mohni sorat wali larki jis k bohat talabgaar thy. Apni kam shakli status aur khamiyon ko adjust kernay k liye wo aksar bulbul pe ankhain dekhata k tum main koi khaami hogi jab he achi jaga rishta nahi howa aur mjh jesay ko de di .
Jab ye taana purana hogaya tou wo makar admi apnay complex uski shakal main, rang main aur baton main khamiyaan nikaal k puri kernay laga.

To be continued....
Written by Fehmida Chaudhary
28th April 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.