Mujhay ab kisi ki di gai aziat pe rona nahi aata. Main ab hans parti hun. Her insan k niqab pert der pert dekhti hun aur dua kerti hun k Ae Allah mjhy in k shr se bacha. Mujhy ye kamil yaqeen hy k jita Allah mjhse azmaish chahta hy us se berh k koi mjhse bura nhi ker sakta.
Moat aur rizq Allah ne teh kiye howay hain. Kisi ki kya majal jo un me kami kry ya cheen lay. Shukr aur sabr khawahishon k bartan ko kabhi khali nhi honay detay.
Kam bolna kitna bara sukh hy agr mjhy pehley pata hota to main bolna seekhti he nahi. Dukh pe sabr ka ajer itna hota hy to main kabhi khushi mangti he nahi.
Duniya mjhy ab kiraye ka ghar lagti hy. Jahan Lord ka aik notice aye bagair he aik joray kafan main char kandhon pe laad k go gazz zameen main shifting kerni paraygi. Aur phir gin gin k aik aik hisaab.
Written by Fehmida Chaudhary
24th june 2020