Saturday, March 30, 2013

Be-Wafa Saharay........

Ye duniya hay...
Yahan per her koi bay-amaan hay
Aur
amaan ki talash main hay.....

Her koi be-sahara hay
Aur
Saharay ki talash main hay...

Be-wafa hay
Aur
Wafa ki talash main hay....

Rayakar hay
Aur
Khaloos ki talash main hay....

Beej nafrat k bota hay
Aur
Fasl e mohabat katnay ki arzoo rakhta hay....