Thursday, August 25, 2016

Na mumkin...

Aisa ho sakta hay kia? 
keh khushboo ko alag phool se kia jaye....

Aisa ho sakta hay kia ? 
Keh dil ho aur dharkhan na ho...

Aisa ho sakta hay kia?
Keh soraj  magrib se nikle aur mashrik me garoob ho...

Aisa ho sakta hay kia ?
Chand ho aur chandni na ho...

Jab ye sub namumkin hay tou...

Aisa kyoon?
isi asman tallay....
Main yahan.... 
Tu wahan....

Zindagi hay KAHAN ....???


Fehmida Chaudhary
25th August 2016