Skip to main content

Mohabat kia hay ????

Mohabat kia hay...her shaks ka apna apna nazarya hay...aur alag alag nazarya hona bhi chaheye kyooon k jab insan dekhnay may aik say nahi hain tou her insan ki soch aik si kaisay ho sakti hay....Mohabat ka aik asool ye bhi hay k jab kisi say mohabat ki jaye tou us say mutalik her cheiz ko apnay pyar k hisar mae shamil kerna perta hay...kyoon k apnay mehboob say mutalik her cheiz say pyar ap per wajib ho jata hay...Mera mehboob mera RAB hay...mujhay us say mutaliq her cheiz say pyar hay...uski maklooq say bhi ...chahay wo murd ho k aurat...jins ka is may kuch laina daina nahi...Mujhay kisi ki koi bat buri nahi lagti...K ...Jis ki khatir mae ye sub bardash ker rahi hon...wo mujh say laparwa kaisay ho sukta hay...

Zalim duniya k apnay nazriyat hain...unki nazar may ikhlaq, ahsas, izzat, compromise,koi ma'ani nahi rukhta....wo to isay apki kamzoori gardantay hain...

Shikway shikayat kerna kamzor insan ki nishani hay...Khas tore per jab ap kisi k sath acha ker k return may achay ki umeed he rakho tou...Umeedain aksar toot jati hain...umeedain tootnay say insan ka andar mar jata hay....aur jab insan ka ander mar jata hay tou ik naya insan us k apnay ander janam laita hay...Jo ik Darwaish ki rooh ki terha ka hota hay....Usay koi perwa nahi hoti.....duniya may kia ho raha hay...kon kia kehta hay....kon kia kerta hay....kon acha hay...kon bura hay...Usay tou apni zaat k chakkarview say he fursat nahi milti....

Laikin ap duniya say kat ker bhi nahi reh patay aur us k sath bhi nahi chal patay...ap aik ajeeb say he bhanwar may phans k reh jatay ho...Rooh ki ye bechaini ye bekarari ap ko zindagi k her second per her minute per apko tang ker k rukhti hay...per is say kisi tore chutkara mumkin nahi...

Per ye duniya phir ALLAH nay banai kyoon hay...????



Fehmida Chaudhary

Comments

  1. ماشاءاللہ۔ آُپکے بلاگز دیکھ رہا تھا آج۔ لیکن کسی بھی بلاگ پر آپسے رابطہ کرنے یا اپنی رائے دینے کا کوئی ربط نہیں ملا۔ ماشاءاللہ آپ تو اچھے خاصے بلاگز چلا رہی ہیں۔ اگر میری مانیں تو آپ ایک اچھی بلاگرہ بن سکتی ہیں۔ اس سلسلے میں اُردو بلاگرز آپکو تمام تر سہولیات فراہم کرنے کو ہر وقت تیار ہیں۔
    آپ کسی بھی ایک بلاگ کو اپنا تمام تر وقت دے کر، ایک نہایت اچھی بلاگرہ کہلائی جاسکتی ہیں۔ بلاگنگ میں کسی بھی قسم کی مدد درکار ہو تو مُجھ سے رابطہ کرنے کیلئے
    http://adilbaiya.blogspot.com/p/blog-page_30.html
    یہاں رابطہ کر سکتی ہیں۔ آپکی رہنمائی فرما کر اچھا لگے گا

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.