Tuesday, June 7, 2011

Himmat....

Zindagi k nashaib o faraz may aisay lamhay bhi atay hain...Jab insan bilkul na-umeed ho jata hay aur us may muqabla kernay ki saakat khatum ho jati hay....

ye baat insan ki azmat k khilaf hay...Duniya may tarraqi hona insan k azam aur mehnat ka nateeja hay aur insan ko ye azm o himmat Allah ki taraf say wud'diat ki gai hay...

Insan ko kisi bhi muqam pay himmat nahi harni chahye ..Balkay jurat o himmat say paraishaniyon ka muqabla kerna chayey agar insan himmat karay tou kia nahi ker sukta ...

Her nakami k bad kamyabi hamarai muntazir hoti hay...ba-shart ye k hum himmat na harain..Allah bhi ba-himmat logon ki madad kerta hay aur unhain pasand kerta hay...

Is liye insan ko azam o himmat ka daman hamaisha thamay rehna chayey ....

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home