Skip to main content

Apnay aur bayganay.....

Main nay zindagi may do mukhtalif tarah k logon say dhoka khaya...
Ik un say jin say mera koi rishta tha na he wasta....
Ik wo jo meray bohat apnay thay aur meri zaat ka hissa bhi....

Shayad zindagi may her zakhm ka marham hay...per wo dil jo kisi pyary k hathon zakhmi howa ho us per koi marham koi dawa kam nahi kerti.......un zakhmon say Khoon rista he rehta hay.....Khoon ki her bond jism o jaan may ik aag si dehka deti hay...Lakh bhulana chaho per ....NAHI...ap nahi bhool saktay....un rishton un pyaron un apnon ki ankhon k rang badalnay ka manzar....
Lehjay ki talkhi ......Jazbat say aari jumlay.........Aur wo beganay pan ka ahsaas jo wo hamain dila jatay hain.........

Kehtay hain waqt sab say bara marham hay.....

Nahi.....

Guzarta waqt is zakhm ko na-soor zaroor bana daita hay....per bhulata nahi...durd kam nahi hota...barhta jata hay....barhta jata hay ......

Phir ik muqam aisa ata hay k ap ki sochain sirf aur sirf isi nuqtay per aker munjamid ho jati hain.....

HAYE MERAY APNAY.....MERAY PYARY.....KAISAY RANG BADAL GAI.....

per ye sawal ap khud he apnay ap say kertay ho aur khud he jawab detay ho...k jin say sawal kia gaya tha un k pass to itna time bhi nahi k wo apka sawal sirf sun he sakain ....Jawab denay k liye to phir bhi time ki zaroorat hoti hay....

Shayad meri batain kisi ki samajh may na ati hon...per acha he hay....khud he batain ker k khud ko muztarib kerna....khud he tasali dena....khud he pursakoon ho jana.....her her phase zindagi ka kuch na kuch experiences hamari jhooli may dalta he rehta hay..... to ye bhi acha he hay....khud he khud say ulajtay rehna.....apni zaat ki khamiyon ko pehchana ...ik alag he lutf hay.....khud aziati ka.......

Janay kaisay log dosron say dushmani kertay hain...tanqeed kertay hain...nafrat paltay hain.....
zaatiyat per utar atay hain.........

Humko to khud say he FURSAT nahi milti.....

Meri soch k zaviye ....meri zaat ki bhool bhalaiyon jaisay he paich dar hain....
k...
main to khud in bhool bhaliyon may raat din bhatakti rehti hon....apna koi nishan he nahi milta mujhko.....

Ajab beqarari si beqarari hay........Ajab na khatum honay wala safar hay......jo shayad ZINDAGI say shuru ho ker moat ki manzil per aker he khatum hoga......to he qarar aye ga.......sakoon milay ga.....


Fehmida Chaudhary

Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.