Friday, March 11, 2016

Rujoooh....

Kehtay hain jab takleef ki shidat bardasht se ziada berh jaye to insaan apnay apko majbor lachaar aur bebas mehsoos kerta hay aur isi bebasi k aalam may agar wo dil se Allah ko pukarta hay to wo pehli awaz per he apni rehmat k der us per waa ker deta hay...

Aur ye lamha jab k khaliq e duniya...Rab e kainaaat pori tawajooh se hamari baat sunta hay to us lamhay ko zaya kernay k bajaye us se faida uthana chahiye...Aur...pori khaloos e niyaat k saath US k hazoor rujooh kerna chahiye...WO bara he raheem hay...Rujooh kerna shart hay ... wo bhi khaloos e dil k saatha aur is ahad k saathe bhi k her achay buray waqt may USKO hamaisha yaad rakho gay,,,USKI pukaar per doray chalay aogay....Us se maang k dekho kabhi bhi koi dua rad nahi hogi..Jo cheiz tum baraey rast apnay RAB se mango gay wo kisi aur se mang k khud ko mushkilon main mat dalo kyoon k kissi ko dua may sahara banana khud USKO bhi napasand hay...aur wo to insan ki apni shah raag se bhi nazdeek hay na....


Fehmida Chaudhary....
11th March 2016