Hassass logon ka kya hy? Wo to akhri had tak koshish kertay hain k agar kisi aziat denay walay ka karobaar uski zaat ko takhta e mushq bana ker faida hasil ker sakta hy toy wo akhri had tak khudko paish paish rakhy.
Aur jo log bachpan main mar k burhapy may dafan hotay hain. Wo to apna murda jism apnay he kandhay pe uthaye phirty hain aisi he naiki'yon ki talash main.
Kabhi kabhi wo apni he rooh ko esal e sawab ponchanay ki khatir wo dukh bhi dhotay hain jinka inki zaat se koi talluq nahi hota. Naikiyon ki talash main sergarda ye MAZLOOM log khud he MAKTOOL hotay hain aur khud he qatil bhi.
Apnay he daman ko taar taar kernay waly kanton ko bhi ye log mohabat se khud se alag ker k raasty se paray rakh detay hain. Taah k ainda na kisi musafir ki raah main aa k thokar khain aur na he kisi daman se lipat ker judai ka rog lagain.
Aisay log jo kanton ki chubhaan ko hans k seh jain aur phr b aah na krain tou waah to banti hy.
Written by Fehmida Chaudhary
19th may 2020

Comments
Post a Comment