Pehlay main samajhti thi k ghum chotay ya baray nahi hotay .... ghum to bs ghum hotay hain....ye ghum na hon to yahan insan kabhi bhi insan na rahay...ye ghum na hon to khushi ko koi shanakht he na karay.... Ik umr guzar k main nay to ye jana hay k chotay chotay ghum wahwaila kertay hain....shor machatay hain , aur baray ghum insan ko khamosh bana daitay hain...shayad isliye k khamoshi ki chaon main he insan sabr aur bardasht ki manzil teh ker k amer ho jata hay.... Meri khamoshi ki wajah pochnay walay shayad ye nahi jantay....keh.... Baray ghum to akser khamosh he howa kertay hain.... Written by Fehmida Chaudhary 25 Novemeber 2015
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC