Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2016

Aisa kabhi na kerna....

Agar kisi shaks ko apni kisi baat pe fakhr mehsoos hota hay aur us fakhr ko koi uska garoor samajh k ....zid samajh k ....wo zid ...wo garoor tor dalta hay to ....agr phir bhi wo fakhr kernay wala khamosh hay... to samajh jao ab ki baar baat maufi ki haad se bohat agay ki hay....sabr aur khamoshi he asal me bohat bari cheikh hay.... in cheikhon ko dabany wale laakh daba lainge per wo jo sub dekhta hay ... wo insaaf bhi kerta hay ...  Kisi k dil ko veeraniyon ka raasta banane walay sakoon ka sans kb lay sakte hain...??? Fehmida Chaudhary  30th Juen 2016

Zakhmi Mohabat....

Aurat ko khail samajhne walay mard ya to maazi main kisi aurat k hathon chot khaye howay hotay hain yaa unki jins ka zoam unhain khilari bna k unki mardangi ko khiraaj e tehseen bakhshane ka zarya bn jata hay... Aik aurat mohabat main sb bardast kerti hay....galti na honay per maufi mang sakti hay...bure se bura salooq bardast ker sakti hay...bhooki reh sakti hay....do kapray main guzara ker sakti hay...per jab baat uski izzat pe harf anay ki ho to wo IZZAT ko tarjeeh deti hay... apni aana ko her rishtay k liye soli cherhanay wali aurat jab tak he kisi mard ki izzat ker sakti hay jab tak wo usey izzat de...agar izzat pe harf aney lage to wo mohabat ki janib jane walay her darwaza khud apnay hathon se band ker deti hay....kyoon k mohabat to aik khushboo hay aur jab ye khushboo badboo me badalne lagti hay to ye qabil e nafrat  ho jati hay... aur dafaan howi cheizon ko hum bhool he jata kertay hain na Fehmida Chaudhary 30th June 2016  

Phool ki qismat...

Her phool ki qismat me kahan naaz e uroosa'n... Kuch phool to khilte he mazaron k liye hain... Maa kehti thi main us k gulistan ka mehekta howa phool hon...Agr main chun sakti k konsa phool to main naaz e uroosa'n k bajaye mazar ka phool ban'na pasand karonge...Kyoon k shab e uroosa'n tak he zindagi hay us phool ki jo saij ka muqadar banay... Main mazar ka phool ban ker kai roz tak majawer ban k rehna pasand karongi...wo phool jo log dil ki manat pori kernay k liye. nichawar kerte hain ... un phoolon main unki umeed...aaass. aetibar,,,,sb kuch hota hay... Fehmida Chaudhary 28th June 2016

Haan main HAAR k JEETI hon........

Jo log jeetne k aadi nahi hotay na...wo jeeti howi baazi bhi haar detay hain....Wo jeetnay ki khushi se ziada,,,, hamaisha ki tarah kho denay ke khauf se nidhaal rehte hain....asaab shakista mizaaj berham...un k mizaj jese bhi hon...wo  cheen'ne k aadi nahi hotay...aapna ap luta detay hain un per bhi jo unhain loat chukay hotay hain.... Shayad duniya ki nazar main mein aik haara howa insan hon per maine ik shaks ko jeeta hay....aapne apko kho ker....maine zindagi harte howe guzari per mujhay is haar ne jeetwa deya hay....meri ye haar mujhay JEET ki manind aziz hay..... HAAN MAIN HAAR K JEETI HON..... Fehmida Chaudhary 28th June 2016

Baarish aur mohabbat.....

Barish ki pehli boond jab pyasi zameen pe parti hay tab uski sairaab honay ki hasrat pori hoti hay...per wo hasrat jo chand lamhon k liye pori hoti hay...kia sairaab hona ubd tak mumkin nahi... ye mohabat bhi barish ki manind he hay....boond boond milti hay to sairaab ho ker bhi insaan tishna he mehsoos kerta hay khud ko... Barish aur mohabat ka mail ho to tan bhi sairaab aur maan bhi.... Written by Fehmida Chaudhary 28th June 2016

Ghar Ghar ki Kahani....

Log kehte thay wo meray kadmon ki khaak bhi nahi....per maine khaak ko sona bana k rakha tha.....chamak ker usne subse pehlay mera wajood aur phir mera ashyana he jala dia... Written by :Fehmida Chaudhary 17th May 2016

Jiska kam usi ko saajhay...

Kehte hain jiska kam usi ko saajhay....maslun agr aik surgeon ko hum joootay seenay ko dedain aur aik mochi ko kisi ka operation kernay ko keh dain ....result to hamain pata he hay na kia hoga...kisi bhi cheiz ki problem ko solve kernay k liye hamain us k baray main proper knowledge darkaar hoti hay... bilkul isi terha agar aik kumgoh insan ko ap khamosh bethne k liye kahain to wo ghanton khamosh beth sakta hay...per agar bohat bolnay wala insan ho to usko ye duniya ka mushkil tareen kam lagay ga... aur isi terha choti choti baton main apni khushi dhondnay walay logon ko jab bari bari baat pe muh band rakh ker hasna perta hay na tab wo khushyan ghum ki dhairian banti hain aur ahishta ahista sanglaakh chatano main tabdeel ho jati hain... Haan wo bhi yuk dam patherili nahi howi thi...aik umr kati thi usne tanha laq o duk  veeranay main aistadaah chatano ki manind...sard o garm sahi thi...aziat k pani se sairaab howi thi wo...ghumon ki tapti dhoop ne usey jala k kundan banaya tha..

Din aur Raat....

Ye jo din main aksar qeh'qahay laga k hasne wale log hotay hain na... Unki khamosh siskiyaan raat k andharon main  un k he jism ki khali devaroon se lipat lipat ker roti hain.... Written by Fehmida Chaudhary 6th June 2016

Bussssss.....

Aurat main Allah ne bohat bardasht rakhi hay...Wo mohabat aur tawajah k badlay main baray se bari mushkilat ka samna bhi ker laiti hay aur bardasht bhi ...Uff nahi kerti.... per jab kisi moqay per wo ye kahay k BUS AB AUR NAHI....tou iska matlab hay k wo apni bardast se ziada seh chuki hay aur ab mazeed ki na us k dil main gunjaish hay na zindagi main..... "Tumharay liye kuch bhi " se lay ker "BUS" tak ka safar yaqeen mano  ye beech ka arsa  usne nahi guzara hota.... US WAQT NE USAY GUZARZA HOTA HAY... Writtten by :Fehmida Chaudhary 5th June 2016

Pachtawaah....

Haan main bohat pachtati hon Ab jab k maine apne apko pather ker lia hay... Ab jab koi umeed , koi aass ki konpal mujhay matwajah nahi kerti Ab jab koi bhi raang meri veran ankhon main rang nahi bherta Ab jab main her jazba soli cherha bethi hon.... Mujhay pachtawa hota hay.... Us waqt per  jab jab maine kisi ka ahsas kia jab jab maine kisi ko pyar dia aur jin jin per apna jeevan tak war dia Haan main us waqt ko akser roti hon... Pachtaway ka ahsaas mujhay ghanton rulata hay.... Written : Fehmida Chaudhary 5th June 2016