Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2018

Farq...

Bohat farq hota hy àzmaye janey main aur dasey janey main. Azmaish k mayyar pe bnda prkha jata hy. Ya to wo paimaish k mayar pe utr k azmane wale ki nazr main sur'khuru hojata hy. Ya  phir nazr se utr jata hy.. Per jo dasaa jata hy na wo ta'umr maqtal main adh'marey ki terha se apni zindagi guzarta hy. Dasney wale k muh ko ik baar kisi masoom ka khoon lag naye na to wo iska zaiqa bhoolna nahi chahta. Isiliye khoon ki lazzat main jese he kami mehsoos kerta hy. Palat k shikaar pe waar kerta hy. Uski ye pyas tb tk nahi bujhti jab tak uska shikaar is jaan'kani k alam se muqamal azad nahi ho jata. Aur ye azadi us bebas ko sans k akhri zaray k khatum hojane k bad he milti hy. Wo azmane k bad dasi gai thi . Uski rooh nay kurb k dono andaz sahay thy to wo pather na hoti to kia krti. Written by Fehmida Chaudhary as on 17th november 2018

Kanton ki chubhan...

Kabhi kabhi hum apni Zindagi main mojood logon k raaste k kantay hatane aur phoolon see sajaney main itne magaan ho jatey Hain k hamain pta he nhi chalta k hum kb unhe logon k qadmon main , Dil main aur ankhon main kanton ki terha chubhnay lagay Hain. Aur wo hamain ghaa'seet k unhe kantoon main phaink atay Hain .jin kanton ko kabhi humne unki rahon se chunna tha.. Yaqeen mano moat see pehle moat jese aziat hoti Hy jab un ankhon main be be'aetinai dekhnay ko milay, jin k liye apnay apni ankhon ki joat bujha k unki Zindagi k chiragh Roshan kiye hun. Written by Fehmida Chaudhary as on 14 November 2018

Be'nishaan...

Jo log apni Zindagi main jeetay jee apny hony ka ahsaas nhi dila sakty wo maar k kb Dillon main jaga bna patay Hain. Main momi , Dil main hasrat rakhti thi kuch saalon pehle tak keh koi mere Marne pe dil se anso bahaye, jisko ye bhi pta ho k main itni achi nhi thi tou itni buri bhi nahi thi. Jisko mere hony na hony se farq perta ho. Per momi ko Kia pta tha k khawabon khayalon ki bat aur Hy aur duniya kuch aur... Ab momi ki ye khawahish kb ki dum tor chuki Hy. Wo aksar apne RAB see aisi moat mangti hy jisme us k jism k itne maheen tukre ho Hain Jo na nahlaye ja sakain, na kafnaye ja sakain, na samatey ja sakain. Qabr to aik Nishani hoti hay na k Jo is me dafan hy wo kabhi tha. Momi qabr ki nishani b isliye nhi rakhna chahti thi k jese wo hote h owe bhi nahi thi. Wese he Mar k kyoon apne hone ki nishani chorti. Written by Fehmida Chaudhary as on 14th November 2018