Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2018

Zaroorat...

Zaroorat k waqt jis cheiz ki talab ho aur wo na milay us waqt tou bad main us cheiz ki wuqat nazron main wo nahi rehti jo zaroorat k waqt agr muyaser hoti tou ahem hoti. Jis terha aik beemar ko bee'mari main dawa ki zaroorat hoti hy. Aur wohi dawa sehatyaabi main us k liye koi ahmiat nahi rukhti. Jis terha aik poday ko hara bhara rukhnay k liye pani, saaey aur khaad ki zaroorat hoti hy. Aur ye sb waqt per muyaser na ho to wo poda sokh jata hy, murjha jata hy. Bilkul isi terha mohabat aur tawajooh agr us waqt na milay jab uski sabse ziada zaroorat ho tou be'tawajuhi ka zeher nason main dortay khoon ki hissiat ko behissi main badal deta hy. Behissi aadhi moat hy. Marta howa insan dum torti sanson se mohabat ki aab'yaari kesay ker sakta hy? Written by Fehmida Chaudhary as on 20 december 2018

Ghataay ka sauda...

Kisi jhootay shakhs/aurat pe mohabat lutana Sara sar ghatay ka sauda hota Hy. Jo shakhs saahi baat ka samna na ker sakay. Wo Zindagi bhaar k liye aapka haath tham k duniya ka samna kesay ker sakta Hy. Jo jhoot bolne pet Allah see nahi derta wo kisi ko chornay ya thaamne k liye kia kisi b nau'yat ka der ya khauf mehsoos kryga.. Written by Fehmida Chaudhary as on 6th Dec 2018

Mukhtalif v/s Munafiq

Maine usey isliye nhi chora k wo Mera nahi thi. Mene usay isliye chora k wo Allah ki batain kerta tha. Usay apni fiker ho to ho . Usay kabhi  Meri namazon ki aadaigi aur Meri mazhabi kamzoriyon ko dur kerne k liye Meri kisi bhi kism ki koshish main Mera kabhi bhi saath nahi dia. Tou phr kaise wo meri duniya sanwar sakta tha, jisko Meri akhraat ki perwa na ho. Mera mukhtalif hona mera qasoor sahi. Per chehron per naqab  badal badal k Roop dikhaney walay log Kia munafiq nahi kehlatey? Mujhy lagta that mukhtalif hona, munafiq honay see behter Hy. Suna Hy munafiqon k liye jhahanum ka sbse akheer aur nichla darja makhsoos Hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 6th December 2018

Bukht ki maari howi aurat...

Suno. Tumne pocha Hy na k main kon Hun...??? Main bukht ki maari howi wo aurat Hun Jo kisi ko ankhon ka surma bna k lagaye to wohi Meri ankhon ki beenai cheen lay, kisi ko seenay see lgaon to wohi peeth pay war kry,  kisi ko qadmon see utha k sir pe bethaon to wohi mere pairon talay ki zameen khainch lay, kisi se meethay bol bolon tou wohi zeher ugalne lgy, kisi pe dil waaron to wohi dil ko tukre tukre ker de, kisi pe jaan luta dun to wohi rooh jhanjore k rakh de. Meri pur soz ankhain aur Dil awaiz muskurahat umr bhar ka hasil tehra Hy mere liye. Mera Daman khaali Hy. Khaali tha. Khaali rahay ga. Khaali tha. Written by Fehmida Chaudhary as on 2nd December 2018