Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2019

Asr...

Yaqeen janiye kisi b zakhm ka durd, ya kisi jalay ki jalan to kuch muddat may khatum hojati hy. Per wo durd, wo takleef jo apki takleef pe ,kisi apnay ki ankhon me behissi aur honton pe istaraahiya hansi dekh k durd deti hy, uska koi ilaj hy na he mada'wah . Zakhm bhar jata hy. Durd khatum ho jata hy. Per wo wo na'kadri ka ahsas goya jism o jaan aur rooh ko jala k khakster ker daita hy. Bhooli bisri yadon k atishdaan me dehekti hoi koi chingari phir bujhi aag ko shay deti aur aag phr bharak jati . Sir ta paon jalti ye aag mukamal tb hi bujhti hy jab saansain rukti hain. Jalty howe lash'aay raakh hojaty hain aur phr supurd e khaak bhi. Per jane dhuwaan kyoon uth'ta hy abhi bhi in mitti ki dhairiyon se. Qarar jalay howon ko kyoon nhi àta.... Written by Fehmida Chaudhary as on 19 march 2019

Pagàl...

Pagal log bohat he pagal hotay hain kyoon k wo munafiq nhi hoty. Kisi k liye sazishon k jaal nhi buntay. Kisi ka dil nahi tortay. Kisi ki tamanaon ka khoon nahi kerty. Na he kisi k chehray se khushi k rang nochtay hain . Na he kisi k honton se muskuraat cheen'ty hain. Pagal log kabhi bhi kisi ko us aziat se nahi guzarty, jis se wo khud guzry hon. Unko apse he fursat nahi milti k wo kisi aur ko aziat denay k nit naye tareeqay sochain. Bazahir normal nazr any walay log he asal me sbse bary pagal hoty hain. Rayaa'kaari, mak'kaari, chaal'baazi aur shatiraana hut'kundon main masroof ho k wo ye bhool jatay hain k fanà hona he muqader hy. Makafat e amal dair se sahi per atul hy. Dair sawair ho sakti hy per ye b moat ki terha apni shikaar ja pakarta hy. Yahan tk k phr anjaam tk pohancha k he ata hy. Pagalpan aur samajhdaari me farq amal se ziada niat ka hota hy. Niat k burey amal k achy kese ho sakty hain. Parkh ki kasooti pe wohi porey utartey hain jo niat shafaf rakhai