Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2019

Tun pe qabaey kafan sajane ko dil kry...

Jism pay lage ghaow to aik na aik din bhar he jate Hain per rooh agr chaalni ho Jaye tou insan kahin ka nhi rehta... Main momi,,, Zindagi say, titliyon say, Chand se, pyar Kia krti this aur ab moat say minat simajat krti hun k aaye aur mujhay aker is duniya say aur  yahan k logon se dur lejaye. Sach to ye Hy k mujhay logon k do rukhi chehray see khauf aata Hy...Mera dil her nai subha aik aas k saath jagta hy k shayad koi subha aisi roshni ki kiran b laye k ghum k kalay badal choot jain.Per aisa nhi hota wo roshni ki her kiran ko he nigaal jatey hain. Ab jamood taari hy. Meri ankhain koi b rangeen manzer dekhna he nhi chahti. Meray kaan koi sureela nagma sun'na he nhi chahtey. Kabhi muskuranay aur bolnay k shauqeen hont ab hilney se qasir hain. Khush libasi aik he nuqtay pe aa k teher gai hai aur dil murda aisa k bs "Tun pe qabaey kafan sajaney ko dil karay ...." Written by Fehmida Chaudhary 13 july 2019

Umeed...

Yaqeen janeye jb tk ap k dil angaan main umeed ki koi konpal khili rehti hy tb tk ap apnay aapko zinda rakhney ki her mumkin koshish kerty hain per joun he ye umeed maar jati hy ap b mar jaty hain. Main jab jab kisi dukh pe ro nhi pati tou khilkhila k hans deti hun. Aik behiss insaan k in khokhlay qehqahon main chupi aah o baqa ko koi b nhi sunta. Ik samaih wohi sunta hy jo wo sun'na chahta hy aur ik nazir wohi dekhta hy jo wo dekhna chahta hy. Her insan apne liye insaaf ka tarazoo tolta hy aur dosre ko jurm sabit howe bagair mujrim k kat'hehray main. Jab mazloom ilzam seh k aur dukhi ansoo pee k chup ho jaye to shayad nijat ka waqt qareeb he hota hy. Written by Fehmida Chaudhary 13th july 2019