Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2011

Soch k zaviye ka aik he rukh hay....

Meri soch k zaviye kuch bhi hon...haqeeqat sirf aik he hay...meri soch is haqeeqat ko kabhi nahi badal sakti...kabhi bhi nahi... Ye maushra mardon ka hay... aik mard dosray ko protect kerta hay... kyoon k sub ki soch aik he hay... sub he apni badshahat ko aurat k khoon ki balli cherhatay hain... Ye khooni log Allah k asoolon say munharif ho ker apnay alag he asool wazah kiye howay hain aur khud ko phir bhi right way per kehtay hain....kyoon k unhain ALLAH nay strong banaya hay... Meri soch k saray zaviye aur taziye thannday hain ab..... Bhala kon zamanay k asoolon say bagawat kerta hay... Maan behlanay ko bas batain kerni ani chaheye... jo ye seekh lay wo kamyab hay....

Aik TRASH BIN ki kahani...uski apni zubani...

Mujhay apnay taraf may is say ziada kuch nahi kehna k .... Jis nay mujhay dhutkara main nay kabhi uski chokat nahi chori k meray baad uska kia hoga... Usnay phir bhi meri wuqat na jani... Us nay meri gunjaish say ziada kachra dal dia ....Main ubal para... Phir aik meherban mila jis nay mujhay pyar say rakha ... jab dil chaha pyar say galay lagaya aur jab dil chaha daman churaya... Mujhay tazheek mehsoos howi apni bohat ziada .... itni k main ye bhool gaya k main trash bin hon... aur meri wuqat us koray jaisi he hay jo mujh may dala jata hay... be wuqat be maya trash bin...

Duniyawi saharay V/S ALLAH

Ajj Javed Chaudhary ki "Zero Point" say aik iktibas mujhay bohat acha laga....bohat he khobsurati say unhon nay aik haqeeqat ko bayan kia hay....Jo kuch is terha say hay.... ".Bachpan ki mehroomiyan, bachpan ki ziad'tiyan, bachpan ki mar'ain. aur bachpan k samjhotay, hamari zaat may khaalah ban jatay hain..jo waqt guzarnay k saath saath baray hotay jatay hain...hum kabhi isko kitabon say bharnay ki koshih kertay hain, kabhi aurton say, kabhi raag'on say, kabhi tasveeron say, aur kabhi shair'on say, kabhi dolat , shohrat aur taluq e aama say ...LAIKIN YE KHAALAH KABHI NAHI BHARTAY". Zindagi may kisi shae k kho janay ka gham tou phir bhi insan bardash ker he laita hay magar bat agar ahsasat ki ho...jazbat ki ho...ya kisi gehray gham aur khushi ki ho....yadgar hoti hay...aur ye waqt zehan k parday per sabt ho ker reh jatay hain...aur agar kabhi aisa ho bhi tou kabhi kabhi aisa bhi ho jata hay k ye batain koi bhoot ban ker hamain darati hain....utht

Faisla....

Juda ho ker hazaron faislay hum nay kiye ab tak Magar "Ik Faisla" abhi humko ba'hum bhi kerna hay Khawab achay hon tou sonay walay ko bhaa'tay hain magar in suhanay khawabon k saharay zindagi nahi guzari ja sakti....Her shaks ki ankhon may khawab halkoray laitay hain...In khawabon ko panay k liye kuch log her mumkin koshish kertay hain aur kuch thak har ker beth bhi jatay hain....per himmat chore dainay walay aksar ye bazi haar jatay hain.... Aisa nahi hay k her shaks khawab sajata ho ..baz aisay bhi hotay hain k jo apnay ap ko in cheizon say dore he rukhtay hain ... aur wo apni zindagi k faislay apnay khooni rishton k hathon girwi rukh daitay hain k kismat meri....marzi teri....per ye kam kertay howay wo soch bhi nahi saktay k ye kia ker gai wo....aur jab hosh ata hay tou dair bohat dair ho jati hay...hath say waqt rait ki manind phisal phisal jata hay...aur akhir may hath khali honay per ahsas hota hay k ham to pehlay bhi khali hath he thay aur ab bhi RAHA kuch bhi