Skip to main content

Faisla....

Juda ho ker hazaron faislay hum nay kiye ab tak
Magar "Ik Faisla" abhi humko ba'hum bhi kerna hay

Khawab achay hon tou sonay walay ko bhaa'tay hain magar in suhanay khawabon k saharay zindagi nahi guzari ja sakti....Her shaks ki ankhon may khawab halkoray laitay hain...In khawabon ko panay k liye kuch log her mumkin koshish kertay hain aur kuch thak har ker beth bhi jatay hain....per himmat chore dainay walay aksar ye bazi haar jatay hain....

Aisa nahi hay k her shaks khawab sajata ho ..baz aisay bhi hotay hain k jo apnay ap ko in cheizon say dore he rukhtay hain ... aur wo apni zindagi k faislay apnay khooni rishton k hathon girwi rukh daitay hain k kismat meri....marzi teri....per ye kam kertay howay wo soch bhi nahi saktay k ye kia ker gai wo....aur jab hosh ata hay tou dair bohat dair ho jati hay...hath say waqt rait ki manind phisal phisal jata hay...aur akhir may hath khali honay per ahsas hota hay k ham to pehlay bhi khali hath he thay aur ab bhi RAHA kuch bhi nahi....

Zindagi ki sakhtiyan itna nahi marti insan ko ...jitna jin apnon k hath apni kismat girwi rakwa ker apnay haq may zulm kia hota hay.....unki waqt per be-rukhi ....k ye he likha tha kismat may.... Kitna zalim hay insan ... Qismat ko ilzam day ker patli gali say nikal jata hay....
Per main isko nahi manti....Ye giray howay logon ki pechan hoti hay...apni galti ko dosron per daal daina....apnay bachao k liye dosron ko daoo per laga daina...apni kisi shaksi kami ya ahsas e kamtari ko kam kernay k liye ... apnay say kamzoor ko nishana bana ker rakhna...aur nishana bhi un baton per banana jo us may hon he nahi...asal may tou ap apna aks dosron may talash kertay hain....jo kamyan ap may hoti hay wo ap dosron may dhond ker khud ki IZZAT E NAFS ko taskeen poncha rahay hotay hain...Zehni girawat is say berh ker kia hoge...???

Per aik bat hay...hum jaisay log to sotay he nahi to khawab kia dekhain gay.....pata nahi kyoon jo kam bhi kia dosron say hamaisha mukhtalif he kia.....khawab bhi dekha to wo jiski tabeer ka ilm he nahi ho sakta ...k khawab dekha bhi to ik saey ka...jis ka ata pata he nahi...jo jab dil chahay dil ki masand per betha daita hay jab chaheye nazron say gira deta hay...per ye kia pagal pan hay k kuch bura lagta he nahi ... na janay kyoon?? Ye soch lia k uski cheiz hay wo jaisa jaisay bartao karay...shikayat kaisi?

Bari say bari imarat(building) ki bunyad may choti choti e'ntain(blocks) istimal hoti hain...dekhnay may ye bazahir be-wukat e'ntain hain azeem imaraton ko mazbooti aur paidari ata kerti hain...Bazahir ye bewukat nazar anay wali e'ntain kuch nahi ...magar jab ik e'nt bhi apni jaga say hil jaye to imarat dhee jati hay....

Aisa he kuch zindagi may bhi hota hay jab tak hum kisi ki life ka hissa hotay hain...unhain hamari wukat aur ahmiat nahi hoti aur hamaray janay k bad unhain ahsas hota hay k hum kuch thay...chup thay per bolna chahtay thay bohat kuch....
chahtay thay k koi ansoo pochay...per khud roo k khud he pochna pertay thay
Chahtay thay k koi sath ho...magar sath thi to tanhai....
Chahtay thay k koi phoolon say jhooli bhar bher day...k bohat pyar hain mujhay in say..
per.......
dil bhi khali
jhooli bhi khali....
aur jo log zindagi may phoolon say apki khushi pori nahi ker saktay
unsay umeed he kia??
k wo shehr e khamoshan may akar apki aramgah per do phoolon ki pankharyan he daal jain gay...

Jo khoon k ansoo daitay hain unhain iski surkhi ka ahsas he nahi rehta...
per hona hay ahsaas ...aik din hoga zaroor
per jab ..
jab hum nahi hongay.......


Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.