Skip to main content

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry.

Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho.

Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain.

Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain.

Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon.

Main chahti hun meri khani sun ker log mera mazar nahi balkay ALLAH ko dhondain.

Unko ye bat samjh aye k banday aur Allah k darmiyan koi parda nahi.wo tou laad kdrta hy. Aur wo nahi chahta k uskay aur banday k darmiyan koi teesra aye. Rab to kehty hy k Allah se guftugu ki jaye. Wo SHIRAKAT pasand kerta tou SHIRK gunnah kyoon samajhta..

Written by Fehmida Chaudhary

20th april 2020

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.