Skip to main content

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay...

Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay...

Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e nazuk wo sub apnay seenay main in subko khamoshi se dafan ker laiti hay...aur uski khamoshi main palnay walay taufan ka kisi ko us waqt tak andaza nahi hota jab tak wo khud isay afshan na kerday...

Aurat ki aaah (7 asman) saton asman cheer ker Rab ul izzat ki bargah main sharf e maqboliat hasil kerti hay...Aurat ko kamzoor samajh ker un k saath khailnay walay log khud mard kehelwanay k like nahi hotay...kyoon k apnay say kamzor say ana ki jang larna kisi moatabir mard ka kam hay he nahi...balkay wo to aurton se bhi gai guzray ho jatay hain...

Aurat ko khilona samanjhnay walay pori zindagi rotay he rehtay hain....aur ye silsila unki sath(7) pushton tak chalta hay aur chalta he jata hay...Aur ye he un mardon k liye aik sabak hay ...aik naseehat hay...Ye wo amal hay k jiski koi maufi nahi...koi talafi nahi...


Fehmida Chaudhary
06th August 2012

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.