Skip to main content

Behroopye......

Suno........!!!

Tum mard zaat ho...tumko sab jaiz hay...sach ko jhoot...jhoot ko sach....galat ko sahi...sahi ko galat...din ko raat...raat ko din..tum jo kaho bas waisa hay....tum jitnay rang badlo........tumko jaiz hay...dosra badlay tou girgit hay....tum chori karo ...tou jaiz hay.....Dosra karay tou gunahgar hay....Tum behroop badlo aur bat bat pay jhoot bolo...tumko jaiz hay...tum mard hona .....tumko sab jaiz hay....tum bilawajah jhoot k anbar laga do tou jaiz hay....dosra apni dastan e ghum ko chupanay ki khatir bolay wo jhoota ....

Tum her jaga fateh e aalam tehray........main nay mana.......

Per ye tou bata do ....Kis nam say pukaron ......? Kia nam hay tumhara.....?
Bhais badal badal ker nam badal badal ker jo insan khud apnay ap say dhaga karay kia wo sacha hay....Tum to apnay nahi ho.....tum aur kabhi kisi k hogay........Nahi.......Kabhi nahi.........

Mera apna nam tou hay.....main achi hon k buri ......mujhay garz nahi....per  main kisi ko kuch kehnay ka haq bhi nahi rakhti k abhi tou main khud khamiyon say muberaah nahi hon...main kisi ko kia kahonge....

Jab aik hiran(deer) apnay jhund say alag hojata hay na tou wo heran paraishan idher udher dekhta hay....shikar kernay walay us per qayamat ki nazar rakhtay hain....aur wo in shikariyon say bachnay k liye idher udher bhagti phirti hay....per uski qismat anjanay main aik aisa shikari us pay ghaat laga k betha hota hay k wo ghayal ho he jati hay...majbori ki mari...paraishan haal hirni....jaan de bethti hay......Jaan ganwa bethti hay....

Fehmida Chaudhary
8th August 2012

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.