Skip to main content

Mera Taaruf....

Log mujhse mera taaruf pochtay hain ... wo pochtay hain k main kon hon...Main unko kis terha bataon k main kon hon..kyoon k main tou kuch hon he nahi...honay aur na honay k darmiyan hay meri zaat...koi shanakht hay he nahi....koi pata hay he nahi...

Main logon ko kis terha bata sakti hon k main wo zinda lash hon jis k armanon nay kafan ka safaid jora pehna hay....jis k khawab andhairay koo'ain main khudkashi ker chukay hain...Jiski tamanain lab per anay say pehlay he dam tore chuki hain....Main kis terha bataon unko....kis terha...?

Meri soch mera saath denay say he munkir ho jati hay jab likhna chahon k main kia hon...Apni zaat k khander main khud he do char cheikhain mar k wapis ajati hon k MAIN KON HON???

KON HON MAIN............???

Taa'ruf....
My own nazam....

Loag mujh say mera taa'ruf pochtay hain...
Main unko kis terha bataon???
K
Main wo zinda lash hon
Jis k khawabon nay kafan ka safaid jora pehna hay
Jis k chehray pay udasiyon k dairay hain
Aur
Jahan hijr ka ik azdaham
Meri rooh say khamoshi ka anchal
utha ker meray chehray ka dedar kerta hay
Aur
Phir ma'no mitti talay ja sota hay...

Meray jism k qabristan say
aah o baqa
Siskariyon
aur
cheek o pukar ki awazain ati rehti hain...

Is aag may main roz jalti
Roz marti hon...
K
mujhay arman rehta hay k
is zinda janazay ko
Koi jhooti tasalli
Koi jhoota sahara
Koi hamdardi ka utha hath hi sahi....

Ik phuwar ban ker
Is jalti undekhi mayoosi
Aur
Udasi ki aag ko thanda ker day...
K
Meri rooh ko mitti may milker he sahi kuch sakoon tou milay.....

http://www.youtube.com/watch?v=aCH0y8cfPY8

Fehmida Chaudhary....
06th August 2012

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.