Skip to main content

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain.......

Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay..

Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day...

Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay....

Do rastay hain option may us k pass...

ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay
Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay...

bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko.........

Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay...

Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may lay rukha hay...unhain main zameeni thaikaider ya zameeni nakhuda kehti hon..........

Jin k pass apnay siwa subka nama e amal hota hay....pori history a to zee...per nahi hota to apnay ap per nazr e sani kernay ka schedule.....

Burai ko achai say khatum kia ja sukta hay....ye mera man'na hay....per is k liye stamina hona chaheye jo k ajj kal k logon may napaid hay...bardash khatum ho gai hay logon ki....her shaks ye samajhta hay k duniya ka dukhyara sirf wohi hay.......jitna us nay dekha hay ....dukh....utna kisi nay nahi dekha....

Jab k her shaks ka apna zarf hay ..kisi may itni bardash hoti hay k wo ik lafz nahi bol pata na ahtajaj may ....na he aah o baqa k liye........

Aur

Koi karahta rehta hay..........wawaila kerta rehta hay......
farq hay to logon ki bardash ka...zarf ka....
warna dukh to dukh he hota hay....
Chota ya bara nahi hota....

Hamain apnay ap ko acha rukhna hay......pehlay khud role model ban'na hay...per agar hum ye chahain k koi insan farishta he ban jaye to aisa nahi ho sakta....

Agar kisi may 100 khobiyan hain to hum wo nahi dekhtay.....aur uski sirf aik khami ko itna uchaltay hain ...itna advertise kertay hain k wo 100 khobiyan us aik khami k pass manzar may chali jati hain....

Zindagi may agar hum kuch aur na bhi ker pai'n to ye to ker he suktay hain k samnay walay ki achi bat ko appreciate karain....us k positive aur plus points note karain..bajaye is k k hum us may burai ya nuqs nikal ker us k peechay hath dho ker he per jain..........

Insan ko kee-char say banaya hay RAB nay............tou wo pak kaisay ho sakta hay......
perfect to sirf aik he zaat hay ..........................wo hay ALLAH ki zaat.....

Hum baray khud garz log hain.........khud tou kisi ko maufi nahi detay....apnay RAB say tawakoo rukhtay hain k wo hamain mauf ker day ga...

Khud to kisi ki izzat ki perwa nahi kertay aur RAB say tawakoo kertay hain k wo hamain izzat ki zindagi day ga....

Kabhi bhi khud say kisi k liye acha kernay ka nahi sochtay.....k is nay falan time ye kia hamaray sath .........hum kyoon bhool ker acha ker dain .....

ham achai bhi ALLAH ki khushnoodi k liye nahi kertay balkay ye soch k kertay hain k ainda ye shaks meray kam aye ga.........
ye lalach ye hirs hamain kahin ka nahi rakhti..........

Jab hum apnay RAB say mukhlis nahi hain tou aam logon say kaisay ho saktay hain

tou koi hay kia ...............FARISHTA ........???

Nahi .............na

HO bhi nahi sakta.........

Zindgi younhe guzar jati hay..........intikam aur nafrat ki aag may jal jal ker......per insan insan he rehta hay............khata ka putla he rehta hay............farishta sa nahi ban pata to farishta kaisay banaya ga.........




Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.