Skip to main content

Khoon peenay wali jonk'aain....

Mujhay flowers bohat ziada pasand hain.....itnay k jahan kahin nazar ajain nazar nahi hat'ti...i love them a lot......ya shayad subko he bohat achay lagtay hain....hotay tou jo itnay khobsurat hain...dil moh laitay hain... her kisi ka....

Per hum nay kabhi un logon k baray may nahi socha hoga jo phoolon ka karobar to kertay hain per is k bawajood unki zindagiyon may in phoolon ki si mehak nahi milti....wo tou aik aik niwalay ko tarastay hain...shayad phooolon ki khobsurati aur inki khusboo na tou unki zindagi ko khobsurat ker sakti hay aur na un k khali pait ko bhar sakti hay....un logon k samnay sirf hay tou wo chand rupeye jo wo in phoolon k badlay may hasil kertay hain....k ye tou pait bharay logon ki batian hain ..phool khusboo rang mausam....un garibon ko kia lutf dain ge jin k shab o roz is fikar may basr hotay hain k aya ajj unko kuch khanay ko milay ga bhi k nahi.....
Tuff hay... Ye khobsurat mulk jo humne hasil kia....ISLAM k nam per...matlab batatay hain PAKISTAN ka k لا إله إلا الله محمد رسول الله.... aur kam hamaray kia hain...

Islam tou kehta hay wo shaks hergiz momin nahi jis ki zuban say uska musalman bhai mehfooz nahi...

Yahan to zuban ki misal di gai hay... lafzon k ghao ki bat ki gai hai...aur ajj kal kia ho raha hay ...ik musalman bhai dosray musalman bhai ki jaan lay raha hay....aur ye bhi qayamat ki nishaniyon may say aik nishani hay k .....

mErnay walay ko nahi pata hoga k wo kis gunnah ki padash may mara jaraha hay aur mArnay walay ko bhi nahi pata hoga k usnay kyoon mara usay....usay to bas marna tha tou mar dia....

Ye khoon ki kaisi holi hay jo khailnay walay ko na janay kaisa maza day rahi hay...ye kaisi bhook hay ...ye kaisi pyas hay jo mitnay may he nahi arahi hay....

Wo becharay jo roz ki kamai kernay walay hain...wo bhook o aflas say mar rahay hain....jitnay din bhook bardast howi .....theek hay......us k bad wo bhi moat ko galay laga rahay hain k unki gairat ye gawara nahi kerti k kisi k agay hath phailain wo .......kia hay ye sub........

Kia hum apna haq ada ker rahay hain......kia hum itnay kamzor hain k is k khilaf awaz he utha sakain........Hamara mazhab tou hamain khud kehta hay k Zulm sehnay wala aisa he hay jaisay k Zulm kernay wala......

Per nahi ajj k dore ka insan apni zindagi ki asaish ko hasil kernay may itna laga howa hay k usay kisi aur cheiz ki fikar hay he nahi....usay jab tak wo AAG parai lagti hay jab tak apna ghar uski lapait may nahi ata...

Hum Ashraful makhloqat thay jab duniya wajood may aye..... Aur ab simple makhlooq bhi nahi rahay.......khooni darinday ban gai hain ....khoon peenay walay........khoooni asham darinday.....

Hamain surikhiyan achi lagti hain......
bas....
chaheye wo akhbar ki hon k
jazbat ki
k kisi ki jan lay ker

Humain to bas surkhiyan pasand hain...
Hum sub khoon peenay wali jonkain ban chukay hain....
Per hamain ahsas tak nahi...
Hum khobsurat frame k aainay laga ker..... un may apni shakal dekh ker.... dil may bas ye he sochtay hain k ...HUMSA HO TO SAMNAY AYE....

Apnay ap say karahiat he nahi ati hamain......
Hamaray zameer murda ho chukay hain....
Hamaray dilon per kufl per chukay hain.....

Is qaum ko ab zaroorat hay ik imam ki.....ik nasaih ki....ik rahbar ki....ik mutak'ki ki, ik parhaizgar ki.....Aur kuch nahi tou ....chalo hath he utha ker us say mang lain .......jo muradain pori kernay wala hay.........jo bhatkay howon ko rasta dikhata hay...jo zakhom pe marham rukhta hay.....

AOOOoooooooooo........
Dua mangtay hain.....

Ae RAB e kareem hamari khatain mauf farma....bas hamaray amal he hamain ruswa kertay hain tou bakhshnay wala hay ...bakhsh day..........aur hum per zalimo ko hukmaran na bana....koi aisi raah dekha jo hamain manzil per lay jaye aur hamaray rastay ko asan farma day......beshak ye hamaray amalon ka he natija hay per tou mauf ker day.......aik nai subha e roshan dekha day meray malik.........hamain acha insan bana .....musalman bana.......acha shehri bana.....aur is MAA jaisi dharti ko apni pannah may lay lay aur iski hiffazat farma aur isko zalimo k shar say baacha....beshak tou RAHEEM hay KAREEM hay GHAFOOR hay.......ameen sum ameen


Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.