Skip to main content

Stupid experiment.....

Ajj aik bat reh reh ker yaad arahi hay...3-4 saal pehlay ki baat hay....pata nahi bethay bethay kyoon ye bat zehan may ai k ye bat kyoon kahi jati hay k ...aik kharab saib(apple) saray sahi saibon ko kharab kerta hay is type ka kuch perha tha ..jis ka concept basically ye tha k kharab sohbat achay logon ko bhi kharab ker daiti hay......jo meri samajh may bat aye tou wo tou ye he thi....agay ka mujhay nahi pata...likhnay walay nay kis pas manzar may likhi thi....

khair ghar per saib rukhay thay unhain check kia aik un may say kharab ho raha tha...usay may nay set ker k beech may rukh dia..k dekhtay hain kal tak kia result ata hay....aglay din dekha tou wo saib mazeed kharab ho gaya tha...per dosray saib kharab tou nahi howay thay....shayad bohat he dheet qism k thay...isliye...ya phir kia wajah thi....khair wat i saw is that ....k....jo kharab tha us ka acha khasa dhaag dosron per bhi lag gaya tha...

mujhay to just observe kerna tha k wo kharab wala dosron ko kharab kerta hay k nahi...per kuch dair bad zehan may ye bat aye k experiment zaya nahi gaya....pehlay pahal aisa hota hay k kharab cheiz apna halka sa daag lagati hay achi cheiz per...us k bad time guzarta jata hay tou daag mazeed berh jata hay....aur akhri kar wo usay bhi zakhmi sa ya mukamal kharab sa ker daita hay....

Meri hergiz ye khawahish nahi thi k newton k bad mera nam aye ...research ki duniya may ...jis k experiment may saib ka nam aya tha...ye tou bas pata nahi kia soch ker kia tha....

Kabhi kabhi aisa hota hay k hamain bari say bari bat nahi lagti ....aur kabhi kabhi aisa hota hay k hum choti say choti bat bhi dil per lay laitay hain...pata nahi aisa kyoon hota hay....per hota hay....i dont know why....


Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...