Skip to main content

Sabr......Azeem bannay ki pehli serhi....

Bachpan say he logon ka kuch na kuch target hota hay....koi goal hota hay ....jis k achievement k liye wo tan maan dhan ki qurbani daita hay....dil o jan say us cheiz ko hasil kernay k liye apni tamam takat laga daita hay.....kuch log shuru say he doctor...kuch engineer...kuch pilot wagaira wagaira banna chahtay hain....

Waisay to mujhay kuch kuch shauq tha poetess bannay ka .... per iska shukar ada kerti hon k na ban saki.... na he ban'na hay mujhay... sorry to say but...but....jin ko adab ka rakhwala ya ilm ka mamber samjha jata hay...bat kernay per pata chalta hay k wo tou khud BE-ADAB hay....aur usay khud adab seekhnay ki shidat k sath zaroorat hay...

Ye bat mujhay bhi pata hay k "5 fingers are not equal"....magar hamain equal he mili ...ye hamari qismat ya adab ka hamaray hathon affiat k sath patli gali say nikal jana hahhahahhahahha....

Khair jo bhi tha .... acha nahi tha...
Agar ye sub adab hay....tou hum BEADAB he bhalay hain....

Dosra shauq tha Azeem ban'nay ka... aur uski shuru'aat aisay howi k shayad bohat bachpan may he humne Buggle baja baja ker sub he k liye Aam maufi ka ilan kerdia tha..chaheye jurm kitna he sangeen kyoon na ho...

Pata hay...kisi say intikam lainay ka sub say acha tareeqa usay mauf kerdaina hay...per ALLAH gawah hay k kabhi ye soch ker kisi ko mauf nahi kia k ye intikam hay...kerdia to kerdia... na koi criteria rukha k kis ko mauf kerna hay ...kis ko nahi... Khud bhi kabhi maufi mangnay may aur thanks kehnay may kabhi koi sharamsari mehsoos nahi ki....koshish ki k hum logon say mohabat karain aur ALLAH humse ....

Ik waqia perha tha....

Ik shaks mar gaya ..apnay azeezon ko khawab may tou unhon nay pocha k ap say ALLAH tallah kaisay paish aye hain... us shaks nay jawab dia k ALLAH nay mujhse narmi ka salook kia ...isliye k main bhi logon nay narmi say paish ata tha....

Allah ki Allah he janay.........jin ko hum gunnahgar samajhtay hain na maloom ALLAH ko unki konsi ada bha jati hay k wo mauf ker daitay hain....aur baz dafa 24 hrs ibadat guzar ki bhi bakhshish nahi hoti...kisi ko haqeer nahi janna chaheye...kyoon k is say ap khud ALLAH ki nazar say gir jatay ho...ye takabur hay...apnay ap per...k khud ko Aaala jano aur dosray ko.....???

Ab bat ati hay Bohtan ki... ye aisa gunnah hay jis ki maufi ALLAH nahi deta...kyoon k is bat ka faisla us nay khud apnay pass nahi rukha ...aur is ka faisla us per he chora jis per lagaya gaya ho..aur rozana ye kam duniya may kitni dafa hota hay...jo kertay hain unhain shayad is ka ahsas tak nahi...per azeem ban'na koi asan kam thori hay...

Allah ko apni makhlooq say kitna pyar hay k us nay is bat ko qabil e maufi bana dia magar usi k hathon jisko kaha gaya ho...mujhay mafhoom yaad hay bat hay...(i think k HAzrat ALi ka qaul hay...agar main galat hon tou ALLAH mauf farmaye ameen...)

kisi shaks ki azmat ka andaza is bat say lagaya ja sakta hay k us nay apnay kirdar per ungli uthanay walay ko mauf kerdia ho.....Kyoon k ye koi asan amal nahi.....

Zindagi may jahan hum apnay naik amal say bohat kuch patay hain wahan sirf aik lafz...aik amal....aik galat bat say...wo sub dhoo bhi detay hain jo acha hamaray nama e amal may likha hota hay...

Koshish ye he honi chaheye k ALLAH ka kam ALLAH ko kernay dain...Qanoon e qudrat may madakalat usko bhi nahi pasand ....

Baz log dosron ko alfaz k teer chala ker enjoyment ka nam detay hain...becoz they love to irritate others....tou unka kia ????? Logon say narmi say paish anay per RAB khud narmi say paish atay hain tou kia irritate kernay walon ko irritate nahi karaingay... ye aik general si bat hay...is ka taluq kisi k sath nahi ...per aik sawal hay....jis ka jawab shayad na ap day pai'n gay ...aur na he main....kyoon k ham apnay per nazar kam ...aur...dosron pay ziada rukhtay hain....main aap aur hum sub..aik say he tou hain....

Na badalnay walay....

Fehmida

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.