Skip to main content

Akhri baat........

Zindgi may kabhi bhi ap kisi kitab ka title dekh ker kitab may mojood mawad ka andaza nahi laga suktay....Isi terha kisi dosray k baray may ap mafroozay kaim ker k usay tease nahi ker saktay....jab bat ka ilm na ho tou us topic per bat he nahi kerni chaheye....kehtay hain qabr ka haal murda he janta hay...koi aur nahi.......ye he bat aam insan ki zindagi per bhi laago hoti hay.....wo kia hay...kia nahi...kia haalat hain....kia waqiat hain........kon sahi hay...kon galat hay....

Kia kisi insan may itni bhi sense nahi hoti k wo ye andaza laga sakay k aya aik insan jab her gair k sath achay say paish ata hay......darguzar kerta hay her bat.....apnay tore per achay say acha kernay ki koshish kerta hay tou kia wo apnay qareebi ird gird k logon k saath wo rawaiya rawa nahi rukhta hoga...

Meri maa hamaisha kehti thi k apna dukh kam kerna ho tou hamaisha apnay say neechay walon ko dekho....dosron ka ghum dukh durd dekh ker dil ko sabr ajata hay k ye bhi tou hay k jo ham say buray haalat may reh raha hay.......aur ye he bat RAB E KAREEM nay bhi farmai hay...

Kisi cheiz ka acha lagna...uska izhar kerna agar gunnah hota to hum insan kabhi chand sitaron nazaron aur khobsurat logon ya khobsurat ikhlaq k logon ki tareef na kertay........

Allah k kam hain Allah he janta hay...per ye aetibar hay mujhay k wo utna he parkhay ga jitna hum bardash ker sakain gay...

Agar koi shaks hamaray sath mukhlis honay ka dawa kerta hay tou kia wo aisay kam karay ga jis say hamari ankhon may ansoo ajain...rooh tak jal uthay.........

Ab kabhi kabhi dil kerta hay mera.......wo bachpan jo main nay siyana ho ker guzara ....... main mazi may ja ker usay bacha ban ker guzarna chahti hon......khulay dil say hasna chahti hon.......
pata nahi ye samajh ki ghutti kis say pilai thi mujhay........k guriya khailnay ka dore bhi apni zaat k paich o tab suljhatay guzar diye...apni rooh sanwarnay may he waqt guzar dia.....aur hath aya tou kia..........kuch bhi nahi........

Triangle ki noak per main tanha ........be maigi ka ahsas kitna jan laiwa hota hay......ye main nay tab jana jab main shayad taqdeer aur kismat k mai'nay bhi nahi janti thi.......

Per kisi say kuch nahi kehna.........k keh ker apna ap khona hay.........gair hon k apnay sub he khooni hain........khoon chosnay walay.........bas tareeqa e wardat alag hota hay sub ka....

Jis say umeed lagao....jisko apna samjho ...wo he dasta hay.........kabhi chehray badal badal ker aur kabhi rukh badal badal ker.......

samnay baith ker koi bat nahi kerta.........time he kahan hay kisi k pass.......


Fehmida Chaudhary

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.