Skip to main content

Pagalpan....

Ajj aisay he bethay bethay meray zehan may aya k duniya may technology main itni vast changings arahi hain...her cheiz ko check kernay ka METER invent ho chuka hay....

Kabhi kabhi der lugta hay...pagalpan meaurement meter na ban jaye.........ziada kuch to nahi hoga per GENIUS BOOK of WORLD RECORD k saray record toot jain gay.........jab mera pagalpan 100% aye ga... waisay to mujhay kabhi bhi shohrat ki talab nahi rahi per bethay bethay aisay nam mil jaye ga ye bhi na socha tha.....agar pehlay pata hota to koshish hoti k mazeed improvement lanay k iqdamat kiye jain....

waisay pagalpan ka aik bara faida ye hay k ap apnay main may mast rehtay ho...waisay to iska koi ilaj hota nahi hay per kabhi kabhi ye pagalpan shayad ap k haq may behtar he hota hay......apnay ap say uljh ker ap khud he apna ahtasab kertay rehtay ho....apnay say he naraz ho ker beth jatay ho........aur mazay ki bat ye k sub ko mananay walay...apnay app ko mana'nay ka hunar bhi nahi rukhtay........per ye narazi 3 din say ziada nahi hoti.......

Mujhay apnay ap ko criticize kerna acha lagta hay......jab ap apnay ko criticize kertay ho to ap ki "Mae"(ownself) khatum ho jati hay...aur ye "mae" jahan hoti hay wahan barbadiyan he ati hain...jab "mae" khatum ho jaye insan ki tou ankhon k jalay nahi rehtay ......duniya aur log sub clear ..nikhray nikhray nazar atay hain.... kehtay hain na k jaisay maan hota hay waisay he duniya nazar ati hay.........aur duniya aur logon ko morid e ilzam tehranay walay log aam tore per wo log hotay hain jo hathon main aaina nahi rukhtay aur un ki misal wohi hay...andhon k hath may aaina wali ya ganjay k hath may kangah wali.......

Ik bat per hansi ati hay.....jis say milo kehta hay zamana kharab hay...log aisay hain....waisay hain...mujhay alafaz sahi yaad nahi hain ..per main nay kahin perha tha k (mafhoom) zamana tou khud ALLAH hay.....tou hum Nauz billah ye keh ker gunnahgar he ho rahay hotay hain....

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.