Skip to main content

Ghum aur khushi....

Ghum aur khushi her aik ki zindagi may hoti hay...han quantity may farq hota hay...per koi ghum ya khushi chota bara nahi hota.......ye to bas hota hay......zindagi may apnay dukh dard ko halka mehsoos kernay ka simple formula hay k ap apnay say kam logon ko dekhain....agar apko ahsas hay tou ap usay mehsoos ker lo gay k ye bhi to hay......per amomun aisa nahi hota...hamain apna ghum duniya ka sub say bara ghum lagnay lagta hay....
Meri maa nay bachpan may (4) batain itni dafa repeat ki hain k ab jab kahin ye jumlay likhti hon ya sochti hon to mehsoos hota hay k wo meray samnay khari hon aur bol rahi hon......

1...Kisi dosray ko koi bat kehtay howay wo bat khud per rukh ker soch lo k agar koi tumko kahay to tumhain kaisa lagay ga....mukhlis ho k jawab do to tum samajh jao gay k kisi say kia bat kerni hay kia nahi..kis bat per kisi ka kitna dil dukh sakta hay....

2...Achon k saath tou sub he acha kertay hain...bat to tab hain jab tum us k saath acha karo jis nay tumharay saath burai ki hay....dil dukhaya hay...ya bura kaha hay...ya koi aisa amal kia hay jis say tumhain takleef howi hay....

3...Kabhi kisi ka mazak na urao....na galat nam rakho k ye aisay kam ALLAH aur us k mehboob ko na pasand hain....kyoon k jo ALLAH say mohabat ka dawa kerta hay wo us ki makhlooq say bura salook ya badsalooki kaisay ker sakta hay....

4...Aik aur bat jo shayad dosron ko sunker ajeeb lagay per wo ye kehti thi k hamaisha kisi bhi gair mard k saath karakht lehjay may bat karo...k wo tumharay lehjay ki mulaimat ko tumhari kamzori na samjhay.......ye adat aisay shamil ho gai hay k ab seedhay muh bat hoti he nahi hay ...hahahhaha...

khair bari serious bat ho rahi thi......baat bhi kahan say kahan nikal gai.........ajj aik book may do aur khobsurat batain perhi hain.......

Ik to molana roomi ki hay....
Ap k pass
agar koi bemari
ya ghum ki khabar
ya koi sadma
ya koi hadsa
ya koi nakhushgawar khabar ati hay
aur dastak deti hay ap k darwazay per tou sub ko khush amdeed kahain...
Kyoon k ....
Ye sub paraishaniyan jo ati hain us k bad koi bohat achi khabar anay wali hoti hay...

Ik aur bat ......Khalil jibran...

Ghum aur khushi dono behan bhai hain kyoon k agar khushi ap k saath sofay per bethi hay
Tou
Ghum ap k qadmon may betha hoga
wo uthay ge to GHUM beth jaye ga....

Haye kitni khobsurat bat hay ...dil bagh bagh hogaya....
Kash main in logon k zamanay may paida hoti........
do char sawal he poch laiti .......:p
jo zehan may flood ki terha umund umund k atay jarahay hain..............:D

Fehmida


Ajj apni ye blog dekh ker dil ker raha hay gungunanay ka....
Hari thi man bhari thi.......
Raja jee k bagh may doshala oray khari thi............:)

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.