Skip to main content

Mera Ishq .........Mera Khaliq e Kainat.....

Aisa nahi tha k zindagi k kisi lamhay apnay paida kernay walay ko bhooli hon main....Mujhay shuru say he der lagta tha ... k meri zaat se kisi ko agar faida na bhi ponchay tou nukhsan bhi na ponchay...Meri her mumkin koshish hoti k meri zaat se kisi ko koi takleef na ho...ranj na ho...main kabhi kisi k liye bura na sochon...her mumkin kam aon...Main logon ko khush kernay main lagi rahi...aur apna ap bhool gaye...Pata nahi kyoon shuru se he meray sath aisa kyoon hay k main sub ka khayal tou ker laiti hon per apna khayal rakhwana aya he nahi....Aisa nahi k kabhi mujhay sadma nahi howa kisi bat ka ...per main akser ye socha kerti k jo bin kahay hamara khayal na rakahin hum bol ker apnay alfaz ya man kyoon gunwa'ain...Zindagi k roz o shab guzartay chalay gaye aur hasil o hasool ka shumar na bhi kia jaye to apni bekadri zar zar rula deti thi...
Log tab tak hamaray hotay hain jab tak hamari zaat un k liye kisi faiday ka mazhar hoti hay...nazar k samnay say gaye nahi k TU kon ya Main kon...??

Ranj hota tha per ab nahi hota...

Duniya tou azma dekhi thi...
Phir Us ki pannah ki taraf bhagi jis say kabhi dor to nahi howi thi...per shayad wo shiddat nahi rahi thi jab he bhatak rahi thi galiyon galiyon...
Us nay mujh se na meri kam hazri k baray main sawal kiye na he mujhay apni pannah say nikal janay ko kaha....na he kis bat ka jawaz aur jawab manga....us nay apni rehmat k halay main mujhay lapait liya....ik shafeeq Maa ki terha .... us k pass mujhay wo sub mila jiski talash main her shaks main kerti arahi thi....khaloos pyar .....wo bin mangay deta he gaya .....na koi demand thi uski mujh se na he kisi kism ki expectation.....

Main nidamat se roti rahi ....roti rahi ......roti rahi....
aur wo mujhay pyar se dilasay deta chala gaya....
Apnay noor k halay main us nay mujhay dakhil kerlia....

Main sahi jaga ponchi thi....
ye he meri manzil thi...
ye he mera hasil....

Mera ALLAH ..... Mera RAB.... Mera Munsif.....Mera Khaliq.....
us nay mujhay samait lia.....us wajood ko jo bikhar chuka tha....kuch tukray idher thay tou kuch udher .... zakhmi laho lohan chalni jiger....sub theek hogaya uski masihai say....her kanta ab phool lagta tha...us nay sub zakhm bhar diye mujhay....meri bekarariyon ko sakoon dia usne...uski kin kin naimaton ka shukar ada karon...

Mujhay Allah se pyar tou tha thi ab mujhay ishq hogaya .......Janoon ki had tak.....main isi janoon main mubtila ho ker uski mohabat k samander main dob jana chahti hon...main kisi mazar ka majawar nahi banna chhati mujhay us k darbar ki gadai kafi hay.......mujhay mera ishq milgaqya....mera RAB....Mera Ishq....Aur yehi ishq e haqiqi he tou bas haqiqat hay baqi sub sarab hay.....bhanwar hay....


Fehmida Chaudhary
3rd August 2012

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.