Skip to main content

Zindagi....ik bala.......

Main bethay bethay na janay kia sochnay lagi k ZINDAGI akhir hay kia bala.....Kabhi meherban si lagti hay ..us maa ki terha jo chotay bachay ko hath paker ker chalna seekhaati hay...kabhi itni shafeeq k girnay ko hotay hain per hath than k sambhal laiti hay...Kabhi itni zalim k naraz ho ker dore kharay ho ker hamain girtay dekhti hay aur hamain koi rond  bhi jaye tou bhi ye tus say mas nahi hoti....dohray roop hain iskay.....kyoon kerti hay ye aisa hamaray sath....rang kyoon badalti hay....dhab kyoon badalti hay....kabhi meherban aur kabhi ajnabi....kabhi hamdard aur kabhi laparwa......Zalim kahin ki......bewafa bhi ho jati hay....jab dil chahey tou....Wafa tou ye kisi say bhi nahi kerti.....

Hum zindagi k baray main mukhtalif tujziye kertay rehtay hain aur ye bhool jatay hain k asal main zindagi hamara tajzia ker rahi hoti hay....

Mehez apnay liye jeena tou zindagi nahi hoti....Log kehtay hain k sirf apnay liye jeenay wala aur sirf apnay baray main sochnay wala tanha reh jata hay...aur uska dil sunsan bayan ho jata hay....per zindagi main is ka tajarba kia tou maloom howa kitabi batain duniya ki haqeeqaton say mukamal tor pe alag hoti hain....

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.